Riyakari yani dikhava Islami Nukta e Nazar sy (Paigham786)

10:22 AM

Riyakari yani dikhava
aaj hum khud ko momin to kahte hain lekin har kaam main dikhava karte hai..dikhava karna ak munafiq ka kaam hai momin ka nahi..Munafiq vo hai jo sirf apni duniya ke bare main soochta hai..vo duayeen bhi karta hai to duniya ki ...namaz main bhi Allah ko vo kam yaad karta hai..qayamat ke bare main use shak hota hai ki pata nahi ayegi bhi ya nahi..vo sirf duniya ke liye jeeta hai phir agar koi achcha kaam bhi karta hai to dikhave ke liye ki log uski tareef karen...aese logon ke bare main Allah Taala kya kahte hain.
Surat Al Baqarah ayat 264 main.... bahot pyar se imaan valoon ko pukara ja raha hai aur nasihat ki ja rahi hai..aye logon jo imaan laye ho apne sadaqaat ko ahsaan jata kar aziyat dekar zaya na karo aur us shakhs ki tarah na ho jana jo Allah par imaan nahi lata ..jise qayamat ka bhi yaqeen nahi..ye ak munafiq hai jo sirf logon ko dikhane ke liye sadqa karta hai..taki sab uski izzat karen..uska naam ho...uski log tareef kareen..logon par rob pade...uske dil main Allah ka khauf nahi hota ..na hi ye ahsaas hota hai ki qayamat ke din Allah ko hisaab dena hai....iski misaal aesi hai..
Jaise ak sakht chattan ho chikne paththar ki jo uska dil hai phir us par kuch mitti padi yani us insaan ne kuch sadqah kiya ..mitti se life aati hai beej dala jaye to fasal paida hoti hai yani usko uska savab milta isse pehle hi... usne dikhava kiya ...jo teez barish ki shakal main aaya aur jo mitti padi thi vo dhul gaye..aur vo chattan saaf ho gai..jaise kabhi kuch tha hi nahi yani uski sari naiki dhul gaye kuch nahi bacha.
Yani sadqah karne se jab tak usko kuch fayeda pahunchta usse pehle hi dikhave ki vajah se sab khtam ho gaya...ab use uske sadqe ka koi savab nahi milega...ye example dekar imaan valoon ko Allah Taala ne khabardaar kiya ki tum aesa dikhava na karna..varna tumhara sadqa bhi zaya ho jayega...phir farmaya jo bhi naiki unhone kamai thi uspar unki ab koi qudrat nahi yani uska ab koi fayeda nahi...aur aesi kafiro ki qaum ko phir Allah hidayat bhi nahi deta...yani phir vo yehi amal karte karte mar jate hain aur unhe hidayat bhi nahi milti...aur unki naikiyoon ka koi savab bhi nahi milta.
HIDAYAT KISE MILTI HAI ???
vo jiske dil main Allah ka dar hota hai jise ye ahsaas hota hai ki qayamat ke din Allah ko javab dena hai..jo Allah se hidayat mangta hai.
Lekin jo Allah ka qayamat ke din ka inkaar karta hai kufr karta hai use phir Allah Taala uske haal par chodh dete hain phir use sahi rasta nahi milta hidayat nahi milti.
Yahan hamare liye hidayat kya hai ..ki hum khabardaar ho jayen aur dikhava bilkul chodh deen...varna kisi sadqe ka kisi naiki ka koi savab nahi milega.
KYA HUM DIKHAVA KARTE HAIN...
Haan karte hain.....
1..shadiyoon main..behisaab paisa kharch karte hain sirf dikhane ke liye utne paison main kitni gareeb ladkiyon ki shadi ho jaye.
2...Islam main jahez ka concept nahi..to hum kahte hain hum jahez nahi de rahe apni beti ko sadqah de rahe hai..lekin vo hum sadqa nahi kar rahe hote sirf dikhava kar rahe hote hain ki log kahen ki itna jahez diya hai...bahot se log to karza lekar beti ko jahez dete hain.
3..gifts bhi ak dosre ko dikhane ke liye dete hain.
4..iske alava bhi agar bada amount kisi ki bimari par kharch karte hain to chahte hain sabko pata chal jaye sab appreciate karen.
5...kisi institute ko kuch dete hai to chahte hai sab ko pata chal jaye taki khoob tareef ho ..har kaam logon ko dikhane ke liye karte hain shohrat ke liye karte hain.
Qayamat ke din kuch logon ke paas pahad ke barabar naikiyaan hongi..lekin Allah Taala unhe gubaar banakar uda denge..kyonki vo Allah ke liye na ki hongi sirf dikhave ke liye ki hongi.

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *