MOMIN KA SADQA (Urdu - Hindi)
12:10 AM
MOMIN KA SADQA
Aaj hum un logon ke bare main baat karenge ..jo Allah par imaan late hain...jinhe qayamat ke din ka yaqeen hai ..jinhe Allah se mohabbat hai.. jinhe sirf aur sirf Allah ki raza chahiye.. vo sare kaam sirf Allah ka Qurb hasil karne ke liye karte hain.
1...Vo Allah ke raste main dil ki khushi se kharch karte hain.
2..Vo kharch karne ke baad koi dikhava nahi karte.
3..Vo kabhi bhi dekar ahsaan nahi jatate.
4...Vo dene vale ko kabhi bhi takleef nahi pahunchate kabhi sharminda nahi karte.
5...Vo dekar bhool jate hain..aur badle main sirf Allah ki raza chahte hain.
6..Jisko dete hain agar vo ahsaan nahi bhi maanta bura sulook bhi karta hai tab bhi ye log Allah ki raza ke liye hamesha achcha sulook hi karte hain.
7..Vo dil ke itminaan ke saath kharch karte hain..unhe dekar sukoon aur khushi pahunchti hai .
8..Vo kuch dekar pachtate nahi hain.
9..Vo Allah ki rah main halal kamai se kharch karte hain.
10..Vo pakeeza cheeze achchi cheeze Allah ke raste main dete hain kyonki maamla Allah se hota hai .
Aese logon ki niyat phir Allah Taala jaante hain.
SADQAH KARNE KE FAYDE.....
1..Sadqah buri maut ko taalta hai.
2...Allah ke gazab ko dhanda karta hai.
3...bimari se nijaat dilata hai.
4..maal ko badhata hai.
5...maal main barkat ata karta hai.
6...Allah ka qurb hasil karvata hai.
7...aane vali musibat aafat ko taal deta hai.
Quran main kai jagah Allah ne ahle imaan ko khoob khoob sadqa karne ko kaha hai.
Allah Taala farmate hain..Surat Saba ayat 39 main..
Aur jo kuch bhi tum kharch karoge Allah Taala tumhe uska badla dega.
Phir Surat Al Baqarah..aayat 272 main farmaya..
aur jo kuch tum kharch karoge uska fayeda tumko hi hoga aur tum jo bhi kharch karte ho to Allah ki razamandi hasil karne ke liye karte ho aur tum jo kuch bhi kharch karoge tumhe uska pora pora badla diya jayega aur tum zulm na kiye jaoge.
Phir farmaya ...Sural Al Baqarah ayat 273
Jo maal bhi tum kharch karte ho yaqeenun Allah Taala use jaanta hai.
Phir ayat 265 Surat Al Baqarah main Allah Taala yehi baat ak misaal dekar samjha rahe hain..jab ak momin Allah ke raste main kharch karta hai to uska kharch karna kaisa hota hai.
Allah Taala farmate hain misaal un logon ki jo Allah ki raza ke liye apne maal kharch karte aur apne nafso ki sabit qadmi ke liye..unki misaal aesi hai jaise kisi ka ak baagh ho kisi onchi jagah par..to jab us baagh ko teez barish pahunchi to usne dugna phal diya..aur phir agar teez barish na bhi pahunchi to shabnam hi phal lane ke liye kafi thi..aur tum jo bhi karte ho Allah use dekhne vala hai .
Kabhi kabhi koi Allah ki rah main bahot kharch karta hai kyonki uske halaat aese hote hain ki vo kharch kar sakta hai..to khoob karta hai..lekin kabhi aesa bhi hota hai ki vo kharch karna chahta hai lekin uske halaat uska saath nahi dete aur vo pehle ki tarah kharch nahi kar pata...vo jab kisi ko naiki karte dekhta hai to tadapta hai ki main bhi ye naiki karun taki Allah Taala mujhse razi hoon.
Allah Taala to sab dekhte hain ki kiski niyat kaisi hai aur kon kya chahta hai..Allah Taala ko hamare maal ya sadqe ki zarurat nahi vo to ghani hain beniyaaz hain ..Allah Taala to sirf hamain test karna chahte hain..ki hum kya karte hain..Allah ko hamara uske liye ikhlaas chahiye ki hum Allah se kitni mohabbat karte hain..aur us mohabbat main kya kar sakte hain..Allah Taala ko hamari majburiyaan bhi pata hain...
Yahan aese hi shakhs ka example diya gaya vo zameen uska dil hai jisme Allah ki mohabbat hai jab uske paas maal tha to teez barish ki tarah usne khoob sadqa diya to Allah ne use dugna phal diya yani khoob naikiyaan mili..lekin jab majbori ki vajah se uske paas maal kam tha shabnam ki tarah tha ..to us kam ko bhi Allah ne kafi kar diya aur badle main khoob naikiyaan di.
Allah ko hamari mohabbat chahiye ...ikhlaas chahiye...use hamare maal ki zarurat nahi ye sab hamare test ke liye hai..use hamari mohabbat chahiye..ki imaan vale Allah ki mohabbat main shadeed hote hain.
0 Comments