Sone ki Sunnate (hindi _ urdu)

1:14 PM

SONE KI SUNNATE



  • 1......Sone se pehle bister ko achche se saaf karna.
  • 2....vazu kar ke sona.
  • 3....apna seedha haath seedhe gaal ke neeche rakh kar seedhi karvat se sone .
  • Sone ke baad karvat badal le to koi baat nahi.
  • 4.....ye niyat kar ke sona ki tahajjud ya fajir main uthna hai .usi hisaab se alarm lagana.
  • 5......sone se pehle sab ko mauf karke saaf dil se sona.
  • 6 ......din bhar main jo jo gunah kiye ho ak ak ko yaad karke unke liye Allah se maufi mangna.
  • 3 baar surah ikhlaas padhna .
  • 3 baar surah falaq padhna .
  • 3 baar surah naas padhkar haathoon par phoonkna phir pori body par sar se neeche tak pherna.is tarah teen baar karna.
  • Ayatal kursi padhna...to Allah ki taraf se ak muhafiz muqarrar ho jayega aur shaitaan subah tak qareeb nahi aata.
  • Surah Baqarah ki aakhri do ayate ...amana rasoolo...padhna ..jo ye do ayate raat ke vaqt padhega to vo uske liye kafi ho jayengi.
  • 33 times subah allah 
  • 33 time Alhamdulillah 
  • 34 times Allahuakbar padhna ..
  • Surak mulk padhna
  • Surah alif laam meem sajdah padhna.
  • Sone ki dua padhna ..
  • Bura khwab aaye to teen baar apne left side halka sa thookeen .bura khwaab kisi ko na sunaye jis taraf lete ho use badal kar lete .agar chahe to uthkar namaz padh leen.
  • Neend Allah ki nishani main se hai Qur'an main aata hai .
  • Surah Naba ayat 9
  • Aur neend ko humne tumhare liye araam ka zariya banaya.
  • Neend maut ki tarah hoti hai. Neend main insan helpless hota hai use nahi pata hota uske aas paas kya ho raha hai ..isliye ye sari duayeen padhna zaruri hain taki sote hue bhi hum Allah Ta'alah ki protection main raheen.
  • Bahot se log jab sote hain to uthte nahi ..Isiliye apna dil saath karke aur apne gunahoon ki maufi Allah se mang kar soyeen.
  • Dua:
  • Upon Going to sleep - Arabic
  • اَللَّهُـمَّ بِاسْمِكَ أَمُوتُ وَأَحْيَا
  • Pronunciation
  • Allah humma bis-mika aamu'tu wa aah'ya
  • Translation
  • O Allah ,In Your Name, I die and I live
  • Ae Allah tere naam ke saath main marta hoon aur zinda rahta hoon.
  • Hadeeth....
  • Hudhaifa (R.A) narrated, when the Prophet (Pea
  • ce and Blessings of Allah be upon him) went to bed, he would say this Du'a....
  • [Bukhari v. 8, Book 75/326]

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *