Qisah Ghazwah-e-Badr in Hindi / Urdu

2:44 PM



Ghazwah-e-Badr


Riwayat hai k Hazoor Pak ﷺ ko information mili k Abu Sufyaan, Mulk Shaam/ Syria se Quresh ka bht bara tijarti qafla (Business troop) lay kar arha hai, jis me 30, 40 log bht sara saman laa rahay hain.
.
Hazoor ﷺ ne sahaba ko jung / battle ki tayyari ka hukm dya.
Udhar Abu Sufyan ko bhi is tayyari ka ilm hogya. Us ne foran Makkah me Quresh k sardaroun ko itla'a di aur wahan Makkah se aik bht bara Lashkar / army aslaha (hathyar) se lais ho kar agaya.
.
Idhar Hazoor Pak ﷺ ko bhi us lashkar ki rawangi ka ilm hogya. Is trah Quresh kuffar k 2 lashkar thay. Aik maal wala. Dosra jung wala.
... Is ghazwah/ battle me muslims ki tadad 310 se kuch ouper thi. aur kuffar 900 se zyada thay.
Isi jung me Allah ne Farisht'oun/ Angels ki madad ki basharat di thi.
.
Dono lashkaroun ne Badr me parao dala. Subah ko amna samna hua tau Quresh ki traf se Utba bin Rabiya aur us k larkay Waleed aur Shiba pehlay pehal nikal kar aye.
Aur Muslims ki traf se un ka muqabla Hazrat Hamza, Hazrat Ali, aur Ubaida ne kia.
....Hazrat Ali aur Hazrat Hamza ne tau Shiba aur Waleed k sir kaat kar rakh dye. Jab k Utba aur Ubaidah ne aik dosray ko zakhmi kar dya.
Apnay mad-e-muqabil se nimat kar Hazrat Ali aur Hamza ne Utba ka kaam tamam kardya aur Ubaidah ko utha kar lashkar me lay aye.
.
Phir Kuffar ghazab se bharak uthay aur dono traf se ghumsan ka run para.
Hazrat Muhammad ﷺ ko dua karty karty oungh ne pakar lya, uthay tau khush thay, farmanay lagay, "wo dekho, Jibra'ael lashkar k sath aye hain.."
.
Aur phir Alhumdulillah Islam ka parcham buland hota gya, hatta k Makkah bhi fatah hogya
Is k baad Hajja-tul-Widah (The last Haj) ka waqiyah paish aya.

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *