Hazrat Muhammad SAW ke Madina me tashreef-Awri

2:31 PM



Madina me tashreef-Awri

Rasool Akram ﷺ Quba'a me Monday se Thursday tak rahay aur yahan ki masjid Quba'a ko aap ﷺ ne mazboot farmaya.
Phir aap ﷺ Jmmah/ friday ko madina ko chal paray.
.
Kuch log pehlay se aap ﷺ k pass phunchay aur arz kia k hamaray pass tashreef farma houn. Hamara sara qabeela aap ki khidmat o hifazat k lye hazir hai.
Magar aap ne ountni/ camel k iraday per chorr dya.
...... Hatta k Madina phunchnay tak aesa hi hota raha. Har koi aap ﷺ ko apna mehman bananay k lye koshish karta raha.
.
Magar Khuda k karna aesa hua k Madina phunch kar, different gali'oun me se guzar kar ountni Abu Ayyub Ansari k ghar k qareeb beth gae. Wo khushi se phoolay na samaye.
... Phir Hazrat Abu Ayyub Ansari ne khud lakri ka pala'an ountni se utara aur apnay ghar rakh dya aur aap ﷺ un k makan me thehar gae.

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *