Haj-atul-widah (The Last Haj) in Hindi / Urdu

2:53 PM

Haj-atul-widah (The Last Haj)

Haj ki tayyari:

Jab Ze-qa'ad ka month aya tau Rasool Allah ﷺ ne Haj ka irada kia aur logoun ko tayyari k lye hukm dya.
Hazrat Ayesha R.a farmati hain k Rasool Allah ne 25 Ze-qa'ad ko haj k lye safar kia.
Khutbah-e-Haj-atul-widah: (The Last Sermon):
Phir Rasool Allah ﷺ ne Haj kia aur logoun ko munasik-e-Haj means Haj k faeday aur tareeqay bataye. Phir Aap ﷺ ne aik taweel/ lengthy khutbah/ sermon parha aur bht se ahkamat ummat k lye biyan farmaye.
Rasool Allah ﷺ ne Hamd-o-Sanah k baad farmaya:
* Ae logo! Meri baat ghor se suno. Shayad main tum se is jagah aenda kabhi
mulaqat na karoun. Ae logo tumharay khoon aur tumharay maal apas me aik
dosray per haram hain, yahan tak k tum apnay Parwardigar se ja milo.
* Aur beshak tum apnay Parwardigar k hazoor me hazir ho gay aur Wo tum se
tumharay a'amal ka sawal karega.
* Logoun ko un ki amanatain wapis kar dya karo.
* Koi ksi qarazdaar se sood na lay. kioun k sood saqit kar dya gya hai.
* Apnay deen ki shetan se hifazat lazim hai.
* Ae logo! Tumhari aurtain tumhara farsh ksi bhi aesay shakhs k lye na lagain
jisay tum pasand nahi kartay aur koi fehash baat zahir na karain.
Pus agar wo aesa karain tau Allah Ta'ala ne tum ko hukm dya hai k tum un ko
apnay se juda sulao aur is trah se maro jo zyada takleef-dah na ho. Phir agar wo
un batoun se baaz ajaen tau un ka khana kapra hasb-e-heysiat tumharay
zimmah hai.
* Ae Logo! Aurtoun k sath bhalai karo, wo tumhari madadgaar hain aur apnay lye kuch ikhtiyar nahi rakhti. Aur tum ne un ko Khuda ki amanat k sath lya hai. aur Khuda k kalaam k sath unko halal kia hai. Pus Ae Logo! Meray in ahkaam ko khoob samjho.
* Mainay tum logoun me aik aesi cheez chori hai k agar is ko tum mazboot pakray raho gay tau kabhi gumrah na hogay , Kitab-e-Ilahi (Quran) aur Us k nabi ﷺ ki sunnat.
* Ae Logo! Meri in batoun ko suno aur khoob samjh lo k Muslaman musalman ka bhai hai aur sab musalman aik dosray k bhai hain. Pus musalman k maal me se dosray musalman ko koi cheez halal nahi hai siwa us cheez k jo wo khud apni khushi se bakhsh de. Bus tum aik dosray per zulm na karna.
* Phir Aap ﷺ ne farmaya: "Ae Allah! Kia men Teray ahkamaat bandoun ko phuncha dye?..."
Sab hazir'een ne arz kia, "Han beshak, aap ﷺ ne ahkamaat-e-Ilahi hum ko phuncha dye ..."
Rasool Allah ﷺ ne farmaya, ..."Ae Allah, Tu gawah ho ja..."

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *