Hijrat-e-Habsha (Qisa Hazrat Muhammad SAW)

6:49 PM


  • Hijrat-e-Habsha: 

.
Aur phir kuffar ne bht hi zulm aur muibatoun ka silsila shru kar dya. Jab aap ﷺ ne un mushkilaat ko dekha tau apnay sahaba akram ko farmaya k agar tum Habsha ko chalay jao tau bht behtar hoga.
Kioun k wahan ka badshah ksi per zulm nahi karta aur wo sach'ai ki sar-zameen hai. Yahan tak k Khuda kushad'gi farma de aur sakhti o musibat ko hum se dour karday.
.
Tau Ashab-e-Rasool ne Habsha ki traf hijrat ka faisla kia. aur ye Islam me sab se pehli hijrat thi.
.
Hijart karnay waloun me Hazrat Usman sar-e-fehrast thay jo aap ﷺ ki beti Hazrat Ruqayya jo Hazrat Usman ki bewi thi, un k sath tashreef lay gae. Aur Jaffer bin Abi Talib bhi paish paish thay.
Hijrat karnay walay total log 83 thay.. Chotay bachay alag thay.
Phir Quresh ko is per bhi sabr na aya bulkay apna aik wafad /group Shah-e-Nijashi ko warghalanay k lye rawana kia.
... Magar un k muqablay me Hazrat Jaffer Tayyar R.A. ne Nijashi k samnay zabardst taqreer ki aur Quran me Sura-e-Maryam ka dosra ruku parh kar sunaya, jis me Maryam A.S ka zikr hai.
.
Nijashi us ko sunn kar ro paray aur kaha k ye haq hai. Phir Quresh k wafad ko namurad wapis kar dya.

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *