Elan'iya Dawat-e-Islam (qisa Hazrat Muhammad SAW)

6:47 PM


  • Elan'iya Dawat-e-Islam:

Translation:
..."Ae Rasool jo aap ko hukm mila hai, aap us k zarye (haq-o-batil me) farq kar dijye aur mushrikoun ki takzeeb ki kuch parwa mat kijye.."
.
3 saal tak Islam posheda raha, phir jab ye ayat nazil hue tu aap ﷺ ne khulam khulla ela'an farmaya.
Aur ye hukm bhi nazil hua jis ki wajha se aap ﷺ ko elaniyah dawat ka hukm mila.
... " Aur apnay uqraba'a ko (khososan) azab-e-Ilahi se daraye..."
.
Aur jis trah Islam mukhfi (hidden) raha, tau mukhalifat/ opposition bhi mukhfi rahi. Ab dono traf se khulam khulla takra'ao tha. Tamam Quresh aap ﷺ k pechay parr gae aur trah trah se aap ko lalach dya aur jab har hathyar nakam raha tau phir larai aur takleef denay per utar aye.
.... Aik roz Quresh k sardaroun ne Hazoor Pak ﷺ ko bulaya aur lalach dya;
.
- Bus ab sunn lo k agar tum maal ka khayal rakhtay ho tau hum tum ko sab
se ameer bana dengay.
- Agar Sardar banna chatay ho tau hum aap ki sardari apnay per bhi
tasleem kar laitay hain.
- Agar badshah banna chatay ho tau hum aap ko badshah bana dengay.
- Agar tumharay pass koi jin ya aseb ata hai tau hum us ka bhi ilaj karwa
dengay.
.
Hazoor Pak ﷺ ka jawab:
... Jo batain tum ny kahin, mujhay un me se kuch bhi nahi chaye. Mujh ko tau Khuda ne Rasool bana kar bheja hai. Mujh per Kitab nazil farmai hai. Aur mujhay hukm farmaya hai k main tumharay wastay 'bashir-o-nazeer' ban jaoun.
Agar tum in batoun ko qabool karo ge tau dono jahanoun me tumhari kamyabi hai. Werna main us waqt tak sabr kye hue houn jab tak Khuda hum dono fareeq k baray me faisla nahi farma de ta.

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *