Hijrat-e-Madina ka zikr (Qisa Hazrat Muhammad SAW)
6:51 PM- Hijrat-e-Madina ka zikr
Phir Makkah me hi Rasool Allah ﷺ ko Meraj ka waqiyah paish aya.
Us waqt Quresh aur Makkah me jagha jagha Islam phail chuka tha.. Hazoor Pak ﷺ apnay Ashab ki takaleef k mutaliq pareshan rehtay thay aur aap ﷺ hukm-e-Ilahi se shaba ko hijrat-e-Madina ka hukm farma chukay thay aur khud apnay mutaliq muntazir thay.
.
Hazrat Ayesha farmati hain k aap ﷺ har roz Hazrat Abu Bakr k ghar subah ya raat ko tashreef lay jatay thay. Aik baar aap ﷺ dophar k waqt aye , tau Abu Bakr samjh gae k aaj zarur koi khas baat hai.
Hazoor ne farmaya: " Mujh ko hijrat ki ijazat mil gae hai..."
Ye sunn kar Abu Bakr maray khushi k ronay lagay aur arz kia , main ne isi din k lye 2 ountni'aan tayyar kar rakhi hain.
.
Aur phir Hazoor ﷺ k hijrat farmanay ki khabar Makkah me logoun ko bilkul maloom na hue , siwaye Abu Bakr k ghar waloun k aur Hazrat Ali k.
Hazrat Ali R.A ko aap ﷺ ne amanat'ain wapis karnay k lye apnay pechay chorr dya tha.
....Phir aap ﷺ Abu Bakr k sath ghar k pechay ki khirki/ window se nikal kar 'Ghaar-e-Saur' me ja thehray.
.
Abu Bakr ka ghulam bakri'oun/ goats ko laikar ghaar/ cave ki traf ajata k wo dono doodh pee sakain aur Hazrat Ayesha R.A ki behan Asma khana paka kar lati raheen. Is trah 3 din aap dono ne ghaar me basar kar dye.
....Idhar Quresh ne sara Makkah chaan mara magar Hazoor ﷺ ksi ko na milay. Is trah logoun ka shor kam hogya. Tau akhri din saman bandh'nay ki tayyari hue, us me Asma ne un dono ki madad ki.
0 Comments