Hazrat Muhammad SAW ki Nabuwat

7:33 AM

Hazrat Muhammad ﷺ ki Nabuwat: 
.
Jab Hazoor Pak ﷺ ki age 40 years hue tau Allah Ta'ala ne aap ko tamam jahanoun k lye rehmat aur logoun k lye basharat denay wala bana kar bheja.
Aur Allah ne aap se pehlay har Nabi o Rasool per eman lanay aur aap k muqabloun me aap k mukhalifeen se larnay ka ehad lya tha. Jis ko Allah ne Apnay kalam me youn farmaya: 
......
" Aur jab k Khuda ne Anbiyah se ehad lya k Hum tum ko jo kitab aur hikmat detay hain, phir tumharay pass Rasool aye aur wo tumharay sath kitab ki tasdeeq karnay wala ho, tau tum us per eman lana aur us ki zarur madad karna. 
Kia tum ne iqrar kia?? (Sab ne) kaha, bilkul hum ne iqrar kia. 
Farmaya: Pus, tum apnay ehad per gawah hojao aur Main bhi tumharay sath gawah houn...."
.
Hazrat Ayesha se marwi hai k, pehlay pehal Hazoor ﷺ ko sachay khuwab dikhai denay lagay aur aap ﷺ jo khuwab'oun me dekhtay ,wo haqeeqat me subah ki safedi ki trah khul kar samnay ajata. 
... Aur Nabu'wat se pehlay aap ko tanhai bht pasand hogae thi aur sab cheezoun se aap ko tanhai achi lagti thi. 
.
Riwayat hai k Hazoor Pak ﷺ k sath Allah ne jab Apni Nabuwat aur karamat ka irada kiya tau aap ki ye halat thi k aap ﷺ jis shajar-o-hijr k pass se guzartay wo goya ho jata aur bol uth'ta. 
..."Ae Allah k Rasool , Aap per salam ho."...
Aap ﷺ idhar udhar dekhtay magar aaspass siwaye charind-o-parind k kuch na dikhai deta. 
.
Aur aap ﷺ k sath aesay mujaza'at o karamat paish atay rahay , hatta k aap ﷺ 'Ghaar-e-Hira' me thay k Allah ne aap k pass Hazrat Jibra'ael ko bheja aur wo Ramzan ka month tha.

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *