Hazrat Muhammad SAW ka faisla

7:30 AM

Hazrat Muhammad ﷺ ka faisla
.
Raat bhi logoun ne intezar me guzar di k dekhain agr Abu Wahub bakhair rahay tau hum bhi kaam karengay. 
... Phir Allah Allah kar k subah hue tau sab ne un ko sahi salam paya. tau sab k diloun me himmat ki dharas ban gae aur sab active hogae. 
.
Hijr-e-Aswad k nasb k waqt Quresh k qabeelay jhagar paray, hatta k khoon rezi per amada hogae k ye mubarak kaam hum karengay. 
Phir Faisla hua k jo shakhs ab Masjid k darwazay se enter hua, us he ko salis aur faisla denay wala bana lo. Aur sab darwazay per nazar jama kar beth gae. 
.
Aur qudrat-e-Khuda wandi k us waqt Rasool e Akram ﷺ ka mubarak sirapa darwazay se zahir hua aur Quresh bhi dekh kar khush hogae aur kehnay lagay k beshak ye shakhs amant-daar hai. Jo bhi faisla karengay, humay manzoor hoga. 
.
Hazoor Pak ﷺ ne farmaya, mere pass chadar lao. 
Log foran aik chadar lay aye. phir Aap ﷺ ne apnay dast-e-Mubarak se Hijr-e-Aswad ko utha kar us kapray k bech rakha . 
.......
Har qabeelay k sardar ne chadar ka aik aik corner thaam lya aur Hazoor Pak ﷺ ne farmaya, sab ne shirkat kar k apni apni dili murad paa li, aur phir Aap ﷺ ne pathar (Hijr-e-Aswad) utha kar usko dewar me nasb farma dya.
.... aur phir us k baad ouper se construction continue hogae.

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *