Hazrat Muhammad SAW par Wahi ki Ibteda : (Beginning of Wahi)

6:40 PM

Wahi ki Ibteda : (Beginning of Wahi)
.
Riwayat hai k Hazoor Pak ﷺ har saal me aik month 'Ghar-e-Hira' me tanhai k wastay tashreef lay jatay aur jab pura month kar k shehar/ city me atay tau sab se pehlay Khana Ka'aba ka tawaf kartay phir apnay ghar tashreef lay jatay.
Yahan tak k jab ye Mubarak month means Ramzan is baar paish aya. aur ye azeem raat bhi aa hi gae jis me Nabu'wat se faiz-yab hona tha.
Hazoor Pak ﷺ ne farmaya:
... "Main so raha tha k Jibrael tashreef laye aur un k pass reshmi kapray me aik kitab lipti hue thi. unho ny mujhy farmaya, " Iqra'a" (parhye).....
Main ny kaha: main nahi parh sakta, yani main an-parh houn.
Is per unho(Jibra'ael) ny mujhy apnay seenay se laga kar dabaya. tau mujhay us per maut ka khatra honay laga. phir unho ny mujhay chorr dya.
Aur farmaya, 'Parhye'... Is per main ne kaha, kia parhoun?
Tab unho ny ye ayaat parhe.."
.
Translation:
......." Parh apnay Rab k naam se jis ne insanoun ko munjamid khoon (yani lothray) se paida kia. Aur tera Rab bari shaan wala hai.
Jis ne qalam k sath sikhlaya (aur) insan ko wo batain sikhlayen jo wo na janta tha..."
.
Phir Hazoor ﷺ ghabra gae aur Hazrat Khadijah ko pura haal sunaya tau wo Werqa Ibne Naufal k pass lay gaen. Wo ye baat sunn kar cheekh paray.
.........."Al-Qudood... Al-Qudoos...."
Beshak ye wohi namos (Izzat wala Farishta) hai jo Musa k pass ata tha.
Beshak ye Paighamber/ Prophet hain. In ko keh do k apnay qadam mazboot kar lain.

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *