Khana Ka'aba ki dobara Ta'ameer: (Re-construction of Ka'aba)

7:23 AM

Khana Ka'aba ki dobara Ta'ameer: (Re-construction of Ka'aba) 
.
Jab Hazrat Muhammad ﷺki age 35 ko phunch gae tau us saal Quresh ny Kaba ki dobara se tameer ka irada kia. Us ko dobara se bana kar chat dalna maqsad tha. 
Magar ksi ko bhi Ka'aba shaheed karny ki himmat na hoti thi. 
.
Khana Ka'aba ki purani walls, human heights se kuch hi zyada houn gi. Ab Quresh us ko buland kar k us per chat dalna chahtay thay. Aur phir Quresh ne is ki construction k lye aik kashti/ boat ki wood use karny ka socha tha jo Jaddah k sahil-e-samandar se daryaft hue thi jo ksi Roman businessman ki kabhi gharq ho chuki thi. aur usko Quresh kaba ki chat me use karna chaty thay. 
.
Phir abhi Quresh k log isi mushkil me thay k akhir Baitullah ko kis trah shaheed kia jae. aur ye itni himmat kis me hai koi kaba ko shaheed kary aur phir kahun Khuda naraz na ho?? 
......... Ab ghaib se aik ajeeb waqiya ro-numa hua k Khana Ka'aba k us Teh-khanay (basement) me, jo nazar o niyaz k wastay banaya gya tha , aik saanp rehta tha. jo aksar wahan se nikal kar Ka'aba ki deewaroun /walls per phan phelaye phirta tha. jiski dehshat ki wjha se koi us k qareeb bhi na ata tha. 
.
Ab daily ye saanp nikal kar hasb-e-adat walls per phirnay laga. tau Allah Ta'ala ne aik bird bheja, jis ne aa kar usko uthaya aur urr gya. 
.
Ye ajeeb wardat dekh kar log satisfied hogae k Khuda hamaray kaam se razi hai, tabhe us mozi (Snake) ko dafa karny ka bandobast khud hi farma dya. 
.
Phir aik shakhs 'Abu Wahub bin Umru' khara hua aur dewar giranay k lye aik pathar nikala. aur sab log khuaf-zada dekh rahy thay, aur koi admi us k sath shirkat na kar raha tha. 
Hatta k us puray din ksi dosray ne hath tak na lagaya

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *