Khatim-un-Nabi'een Hazrat Muhammad saw ka tazkira-e-Khair

2:29 PM

Khatim-un-Nabi'een Hazrat Muhammad ﷺ ka tazkira-e-Khair
.
Hazrat Muhammad ﷺ k mutaliq Irshad-e-Rabbani hai:
...." Tum logoun k lye yani aesay shakhs k lye jo Allah aur akhirat k din se darta ho aur kasrat se zikr-e-Ilahi karta ho, Rasool Allah ﷺ ka umdah namoona mojod hai..." (Surah-e-Ahzab)
.
Sura-e-Tuba me Allah Ta'ala bari muhabbat k andaz me aap ﷺki tareef farmatay hain:
...." (logo) tumharay pass tum hi me se aik paighamber aye hain. Tumhari takleef un ko gira'an maloom hoti hai. aur tumhari bhalai k bht khuwahish-mand hain. Aur momin'oun per nihayat shafqat karny walay hain aur meherban hain. Phir (bhi) agar ye log phir jaen (aur na manain) tau (ae paighamber) keh day Khuda mujhay kafi hai. Us k siwa koi Ma'abod nahi; Us hi per mera bharoosa hai aur Wohi arsh-e-Azeem ka Malik hai..."
(Surah-e-Tuba last 2 ayaat)
.
Aap ﷺ ki narmi aur mehebani k mutaliq Allah farmatay hain:
.
..." (Ae Muhammad ﷺ) Khuda ki meherbani se tum, logoun k lye naram hogae ho. aur tum bad-khoo aur sakht dil hotay tau ye tumharay pass se bhag kharay hotay, pus un k sath maafi ka salook karo. aur un k lye maghfirat maango, aur apnay kamoun me un se mashwara letay raha karo. aur jab (kisi kaam ka) pakka azam karlo tau Khuda per bhraoosa karo. Beshak Khuda bharoosa rakhnay waloun ko dost rakhta hai..."
.
Aur Hazrat Muhammad ﷺ ki zaat tamam makhloq k lye azeem ehsan wali zaat hai. Kioun k aap ﷺ ki badolat 'koun-o-makan' ko wajood ata hua aur phir tamam insanoun aur jin'oun per bhi aap ﷺ ka azeem ehsan hai k akhirat me aap ﷺ ki shifa'at se tamam jin-o-ins nafa'a uthaengay aur roz-e-mehshar ki holnaki'oun se chutkara paengay aur ummat-e-Muhammadiyah per tau aap ka sab se bara ehsan hai.

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *