SURAH E BAQARA TAFSIR(The cow) PART 7

6:19 AM

GLORIOUS QUR'AN

PART 7

SURAH BAQARAH ( THE COW )

Hum abhi tak padh chuke hain ki hamne Allah ta'alah se surah fatiha main hidayat ki dua mangi...

To hamain Allah Ta'ala Surah Baqarah main logon ki categories aur unke anjaam bata rahe hain...... ayah 1 to 5 main padha un logon ke bare main jo duniya aur aakhrat main success payenge..

phir ayat 6 aur 7 main Allah ta'alah ne bataya jo haq ko dekhte hue bhi inkaar karte hain unhe duniya main bhi saza milti hai aur aakhrat main bhi unke liye bada azaab hai.

Ab ayat number 8 se hum vo third category ke logon ke bare main padhenge jo sabse khtarnaak category hai kyonki inke liye azaabe Aleem hai yani sabse dardnaak azaab aur ye jahannam ke sab se nichle darje main rahenge.

Isliye inke bare main bahot sari ayate hain Qur'an main taki hum khud ko check kar leen ki kahin in main se koi character hamare ander to nahi.

Jab aap SAW ko Allah Ta'ala ne paighambar banaya to Aap ki personality aisi thi ki Aap sadiq aur Ameen mashoor the sadiq yani sacche Ameen yani Amaanatdaar trustworthy isi naam se sab aapko jaante the .to jab insaan khud sachcha hota hai to vo saamne wale se bhi expect karta hai ki vo bhi usse sach kahe . Makkah ke log bhi sacche the yani agar unko inkaar karna hota to muh par inkaar karte the ki haan hum nahi maante Quran ko aur jinko maanna hota tha wo kehte the haan humne mana Quran ko aur hum inaam laye .bus do categories thi Makkah main ya to bilkul hi inkaar karne wale log the ya maanne wale log the hypocrite nahi the . Makkah main aap SAW 13 saal logon ko islaam ki taraf ak Allah ki taraf bulate rahe. Makkah center point tha business ka to bahot jald ye news sab taraf phel gaye ki ak shaks ne nabi hone ka dava kiya hai. Bahot se log is bare main janne ke liye Makkah aate ki Islam kya hai .

Madine me us vaqt teen tarah ke log the ak to Jews the jo ahle kitaab kehlate the ...people of book ..unke paas tauraat thi Allah ki asmani kitaab jo Allah ne Musa alehsalam ko di thi vo Musa alesalam ko apna paighambar mante the. second category non Muslims ki thi aur third category aisi thi Jo ki bahot naram the to un ko aap SAW ke bare main pata chala to muslim ho gaye. , vo Aous aur khazraj qabile ke log the . Jo musalmaan hone se pehle apas main ladte jhagadte the to jo non Muslims ka group tha usme se ak Aadmi tha .......

ABDULLAH BIN UBAI.......

Jo ki bazahir bahot hi attractive personality ka tha aur bahot hi accche se baat karta tha bahot hi soft spoken tha ... itna accha lehja tha ke sab log usse attract hote the to sab ne milkar decide kiya ki Abdullah bin Ubai ko hum apna leader banayenge.... madine ka isko sardar banayenge aur jab bhi koi jhagda hoga to hum iske paas jayenge faisle ke liye to uske liye taaj crown bhi tayyar ho raha tha..... isi beech kuch log Aous aur khazraj ke Makkah aye aur unhone jab Aap SAW ki sab bate suni to Islam le aye.

Madina vapas pahunchkar inhone islam ke bare main bataya aur tableegh / preach karna shuru kar diya... to aur bhi log musalmaan hone lage . makkah se bhi aap SAW ne kuch Sahaba ko Madina pahuchaya.... Aap SAW ka tariqa tha isi tarah islam ko phailana ka.

Sahaba ki mehnat se kafi log madine main muslim ho gaye . phir vo aese musalmaan hue ke unhone Aap SAW ke paas aakar Aap se bait li yani Aap ke saath qasam khai ke Aap SAW ka har haal main saath denge .... yani Aap makkah chodh de ye log Apko itna pareshan kar rahe hain Aap madina ayen ,hum Aap ki hifazat karenge hum Aap ke liye apni jaan tak de denge to Aap SAW ko unse bahot sukoon mila phir hijrat ka hukum aaya ke Aap makkah chodh deen aur Madine chale jayeen .to Aap SAW madine aa gaye hijrat karke aur jo musalman Makkah se aaye the vo MUHAJIR kehlaye yani hijrat karne vale usme bade bade Sahaba bhi the jinke paas Makkah main bahot maal aur daulat thi ... vo apna sab kuch apna business apna ghar har cheez chodh kar deen ki khatir madine aagaye the taki apna deen bacha saken deen par chal sakeen.

Jab madine aaye to unke paas rehne ko na ghar tha na khane ko kuch .Us vaqt madine main jo pehle se musalmaan ho chuke the vo ANSAAR kahlaye yani madadgaar jinhone Aap SAW se bait li thi ke hum Apki madad karenge inhone MUHAJIREEN ki madad ki aur ye itne sacche musalman the ke Qur'an main Allah Taa'la ne inki tareef farmayi .

Madine ki majority apki taraf ho gaye.

Abdullah bin obai ko is baat se bahot takleef hue ki usko leader manne ki bajaye sab ne aap SAW ko apna leader mana..use samajh main nahi aaya ki kya kare ,ki inse jung bhi nahi kar sakte the kyonki aap ke saath bahot se log the. .. inhone pehle to logon ko aap SAW ke khilaaf bhadhkane ki koshish ki , lekin jab dekha ki koi fayeda nahi to ,inhone soocha ki hum bhi bazahir musalman hojate hain aur inke andar shamil hokar inse badla lenge .

Ye group MUNAFIQEEN kehlaya munafiqeen yani hypocrite andar se kuch bahar se kuch .

Munafiqeen ke relationship madina ke Jews se bhi bahot achche the .ye jews ke paas jate to kahte hum to tumhari taraf hai .

Inke relationship Makkah ke mushrikeen jo Aap SAW ke dushman the.... jinhone majboor kiya tha ki aap makkah chodh de unse bhi bahot achche the .... inki policy thi ki sab se achche se banakar rakhna kisi se bhi dushmani nahi karna. sab se faida hasil karna .... inke andar duniya ki mohobbat koot koot ke bhari hue thi .

inko shak tha ki jo Islam present kiya ja raha hai pata nahi sach hai ya nahi ,Pata nahi qayamat ayegi ki nahi . deen main shak tha dosra inke andar bahot zyada duniya ki mohabbat thi teesra ye log jhoot bolte the us vaqt inko fayeda isi main laga ki Islam main dakhil ho jayeen jab ki andar se inhone islam qubool nahi kiya tha .

Allah Ta'alah ne Qur'an ke zariye aap SAW ko inke bare main khabardaar kiya.

Qur'an samjhne ke liye aap SAW ki life history samjhna bahot zaruri hai varna translation samjhna mushkil ho jata hai..

To be continued. ......

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *