SURAH E BAQARA TAFSIR PART 6
6:21 AMGLORIOUS QUR'AN
PART 6
SURAH BAQARAH ( THE COW )
SHORT REVISION. ......
hum thode se question answers dekhenge .....
QUE...... Qur'an shuru karne se pehle hamain aouzu billahi mi nash shaita nirrajeem kyun padhna chahiye ?????
ANS...... kyun ki ye Allah Ta'ala ka hukum hai Allah Taa'la ne surah nahl ayat No 98 main farmaya hai ki jab bhi quran kholo to Allah ki panah main aa jao shaitaan se . kyonki shaitaan apni pori koshish karta hai ki insan Qur'aan na padhe use hidayat na mile aur mere saath jahannam main jale.
QUE...... Bismillah kyon padhna chahiye ?
ANS.....BISMILLAH ka matlab hai saath Allah Ta’ala ke naam se. ...jis kaam main bhi Allah Ta'alah ka naam shamil ho jata hai to usme Allah Ta'ala ki madad shamil ho jati hai. isliye hamein chahiye ki har kaam shuru karne se pehle Bismillah padhain aur phir apna kaam shuru karein .
QUE.... Alhamdulillah rabbiil alameen ka kya matlab hai ????
ANS....... Alhamdulillah yani tamaam shukr aur tamaam tareef Allah Ta'ala ke liye hi hai, aesi tareef jisme tazeem yani izzat bhi hai aur mohabbat bhi hai.hum Allah Tala ki taazeem bhi kar rahe hain aur Allah Tala ka shukr bhi bhi ada kar rahe hain.
Rabbil Alameen woh Rabb hai palne vala hai tamaam jahanoon ka .insan jinn universe etc.
QUE.....Hum Allah Ta'ala ki ibadat kyun kareen.?????
ANS...... Allah Ta'alah khaliq yani creator hai Malik owner hai aur mudabbir yani planner hai. Vohi creator hai usi ne create kiya hai phir vohi own karta hai har cheez ko aur planner bhi vohi hai har cheez ki planning bhi vohi kar raha hai .....seed main se kaisa plant niklega kaisa size hoga.... leaves ka kya size hoga ,animals ki shape kaisi hogi ,birds ki shape kaisi hogi ,hum insaan hum kaise honge hamari body kaisi hogi kaisi shakal surat hogi kaisi taqdeer hogi har cheez ki ...arsh kaisa hoga ,aasman kaisa hoga ,Suraj ko kaise hona hai har cheez ki planning wo Allah Taa'la ne ki hai kyonki vo mudabbir hai isliye hamain chahiye ki hum ibadat bhi usi ki karein .Allah ne insan aur jinn ko apni ibadat ke liye hi paida kiya hai.
QUE....... hamain kisse madad maangni chahiye ????
ANS..... ayat No 4 surah fateha batati hai ki madad sirf aur sirf Allah Ta'ala se maangni chahiye .na ki kisi mare hue insan se na kisi idol se .
QUE....... Hamain Allah Ta'ala se kon si dua ... konsa Raasta maangna chahiye????
ANS.... hamain Allah Ta'ala se sirate mustaqeem vo rasta jo hamain jannat tak pahunchaye mangna chahiye.
QUE.... Ayat No 2 surah Baqarah main muttaqeen ki definition kya hai????
ANS........ ...Muttaqeen vo hain jinke andar taqwa hota hai .taqwa kya hai ,taqwa yani Allah Ta'ala ka khauf ,Alllah ta'ala ka dar ,Allah taa'la se mohabbat. ki Allah Ta'ala ko hamari koi baat buri na lag jaye .us dar se galat kamoon se khud ko bachana.
QUE....Jannat main jane vale logon main kya qualities hoti hain????
ANS.....1.Vo imaan late hein unseen par .
2... wo namaaz qayam karte hain.
3..Jo bhi Allah Taa'la ne unko rizq yani provision diya hai usme se wo kharch karte hain .Allah Ta'ala ke raaste me ,apne ghar valo par ,jahan jahan Allah Taa'la ne hukum diya hai kharch karne ka vahan vo karch karte hain. aur ye nahi soochte jo kuch bhi hai vo sub hamara hai wo jaante he ke Jo kuch bhi unke paas hai wo Allah Ta’ala ka diya hua hai .
4....Aur vo yaqeen karte hain Quran par ki ye Allah ke words hain.aur jo bhi books Qur'an se pehle nazil hue unpar bhi wo yakeen karte hain
5....aur vo aakhrat par bhi yakeen rakhte hai unke saare maamlaat aakhirat based hote hai unko pata hota hai ki ak din Allah Ta'ala ko hisaab dena hai usi hisaab se kaam karte hain to yehi log hidayat payenge aur yehi log falah payenge success payenge. Aur jannat payenge.
ye first category jisme bataya gaya ki kin logon par Allah Ta'ala ka inaam hoga aur un ki kya kya qualities hongi.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
.Ab aaj hum second category padenge Ayat No.6 and Ayat No.7 surah Baqarah ki kuch log Qur'an ka Allah ka saaf inkaar kar dete he dil se zaban se aur actions se . Aese logon par Allah ka ghazab hota hai duniya main bhi aur aakhrat main bhi hoga. Duniya main unhe kya saza milti hai. .....
Jab Aap SAW 13 years makkah main the to apne ne ak ak ko Quran ke zariye har tarah se samjhane ki koshish ki to bahot hi kam log imaan laye majority ne Apka inkaar kiya .to logon ke inkaar karne se Aap S.A.W bahot zyada ghamgeen hote the to Aap S.A.W ko samjhane ke liye Allah Taa'la ne kaha ye log Jo inkar kar rahe unke dilo par Allah Taa'la ne mohar lagadi hai yani inke dil ab sealed hain. ab ye nahi manenge. isliye inke liye gham na karo to ab un ke baare me bataya gaya hai.
Ayat .......6
إِنَّ الَّذِينَ كَفَرُوا سَوَاءٌ عَلَيْهِمْ أَأَنْذَرْتَهُمْ أَمْ لَمْ تُنْذِرْهُمْ لَا يُؤْمِنُونَ
Verily, those who disbelieve, it is the same to them whether you (O Muhammad Peace be upon him ) warn them or do not warn them, they will not believe. (Al-Baqarah 2:6)
Inna allatheena kafaroo sawaon AAalayhim aanthartahum am lam tunthirhum la yu/minoona
EXP....
Beshak jo believe nahi karte.unke liye barabar hai aap unhe warn yani khabardaar kareen ya na kareen. Vo kabhi bhi imaan nahi layenge.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
AYAH.... ..7
خَتَمَ اللَّهُ عَلَىٰ قُلُوبِهِمْ وَعَلَىٰ سَمْعِهِمْ ۖ وَعَلَىٰ أَبْصَارِهِمْ غِشَاوَةٌ ۖ وَلَهُمْ عَذَابٌ عَظِيمٌ
Allah has set a seal on their hearts and on their hearings, (i.e. they are closed from accepting Allah's Guidance), and on their eyes there is a covering. Theirs will be a great torment. (Al-Baqarah 2:7)
Khatama Allahu AAala quloobihim waAAala samAAihim waAAala absarihim ghishawatun walahum AAathabun AAatheemun
EXP.....
Allah ne unke dilo par aur kanoon par ears par seal yani mohar laga di hai aur unki aankhoon par bhi parda hai aur aese logon ke liye bada azaab hai.
Jab insan duniya main Allah ki qudrat dekhkar bhi andekha kar deta hai ..Allah ki ibadat nahi karta to Allah Ta'alah duniya main use saza dete hain..phir use Allah ki taraf koi kitna bhi bulaye use kuch asar nahi hota. ..ye saza hoti hai Allah ki taraf se duniya main ...dil aakh kaan ye sari windows hain jinse koi baat ander jati hai ..jab ye windows hi band ho jayeen to hidayat milne ke sare raste band ho jate hain. Phir use hidayat nahi milti. phir aese insan ke liye bada azaab hai.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
To be continued. .........

0 Comments