SURAH BAQARA ( The cow) PART 8

6:17 AM

GLORIOUS QUR'AN

PART 8

SURAH BAQARAH ( THE COW )


Abhi tak hum 2 categories logon ki padh chuke hain ab third category padhenge jiske bare main aap SAW ko bhi nahi pata tha ki aese log bhi hote hain.To Allah ta'alah ne khud aap SAW ko Qur'an ke zariye bataya aur alag alag logon ka kya anjaam hoga vo bhi bataya .......aur hamain bhi bataya ja raha ki hum khud ko check kareen ki hum kis category main aate hain ....

Imaan lane ke liye aur true muslim banne ke liye zaruri hai ki dil main iqrar kiya jaye phir zaban se izhaar kiya jaye aur actions prove karte ho.

First category main logon ka dil zaban aur actions ka coordination tha... teeno se unhone mana. ......isliye vo successful honge.

Second category main dil zaban aur actions teeno se inkaar tha Allah ke ak hone ka Qur'an ka.to aese logon ke liye azaabe azeem hain bahot bada azaab jahannam.

Ab ye third category iske bare main aap SAW nahi jannte the ki aese log bhi hote hain.
Jab aap madina aaye to Abdullah bin Ubai aapse bahot jal gaya ...lekin usne apni khair isi main samjhi ki khamosh rahe aur ander hi ander aap SAW ko aur musalmano ko nuqsaan pahunchaye.

Jab aap logon se baat karte khutba dete to ye aa jata aur sabse kahta logon aao inki baat suno ye hamare rasool hain ..iski attractive personality thi baat karne ka tariqa bahot achcha tha koi samjh nahi pata ke iske dil main kya hai.

Ab jo ayate hum padhenge usme Allah ta'alah ne khud bataya ki ak aesi category bhi hai logon ki....

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

AYAH. .....8


وَمِنَ النَّاسِ مَنْ يَقُولُ آمَنَّا بِاللَّهِ وَبِالْيَوْمِ الْآخِرِ وَمَا هُمْ بِمُؤْمِنِينَ

And of mankind, there are some (hypocrites) who say: \We believe in Allah and the Last Day\" while in fact they believe not. (Al-Baqarah 2:8)"

Wamina alnnasi man yaqoolu amanna biAllahi wabialyawmi al-akhiri wama hum bimu/mineena

EXP.....

Allah Ta'alah farmate hain ki logon main kuch aese hain jo kahte hain ki hum imaan laye Allah par aakhrat ke din par jab ki vo momin nahi hain.

Yani Aap SAW ko khabardaar kiya ja raha hai ki kuch log aakar jhoot bolenge ki hum bhi muslim ho gaye hain hum bhi Allah ko maante hain Aakhrat ke din ko mante hain lekin ye log jhoot bol rahe hain. Ander se ye log imaan nahi laye hain.

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

AYAH. ....9


يُخَادِعُونَ اللَّهَ وَالَّذِينَ آمَنُوا وَمَا يَخْدَعُونَ إِلَّا أَنْفُسَهُمْ وَمَا يَشْعُرُونَ

They (think to) deceive Allah and those who believe, while they only deceive themselves, and perceive (it) not! (Al-Baqarah 2:9)

YukhadiAAoona Allaha waallatheena amanoo wama yakhdaAAoona illa anfusahum wama yashAAuroona

EXP.....

Ye Allah ko dhoka de rahe hain. muslims ko dhoka de rahe hain. ..lekin Allah Ta'alah farma rahe hain balki ye khud ko dhoka de rahe hain aur ye jaante bhi nahi.

Hamari koi baat bhi Allah se chupi nahi jab koi kisi ko dhoka deta hai to khud ko clever smart samajhta hai lekin asal main vo khud ko hi dhoka de raha hota aur ye baat jaanta hi nahi.ki ultimately dhoka dene ki saza khud bhugatne vala hai.

In do ayatoon se hamain munafiqeen ki qualities pata chali ak to jhoot bolte hain dosra dhoka dete hain self deception ka shikaar hai khud ko smart samjhte hain .ak muslim main ye batain nahi ho sakti.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

AYAH. .....10


فِي قُلُوبِهِمْ مَرَضٌ فَزَادَهُمُ اللَّهُ مَرَضًا ۖ وَلَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌ بِمَا كَانُوا يَكْذِبُونَ

In their hearts is a disease (of doubt and hypocrisy) and Allah has increased their disease. A painful torment is theirs because they used to tell lies. (Al-Baqarah 2:10)

Fee quloobihim maradun fazadahumu Allahu maradan walahum AAathabun aleemun bima kanoo yakthiboona

EXP.....

Allah Ta'alah farmate hain ye log aesa isliye karte hain kyonki inke dilo main bimari hai...munafiqat hai ...ander kuch bahar kuch.... oper se deen main shak karte hain ...ghaib par Allah par aakhrat par inhe yaqeen nahi... to is vajah se inko bhi duniya main saza di gaye aur Allah Ta'alah ne inki bimari aur badha di. Aur inke liye dardnaak azaab kyon ki ye jhoot bolte hain.

Qur'an ak mirror hai jo humko hamari hi buraiyeen dikhata hai.
Sabse pehli baat jo chodhne ko kaha ja raha hai vo jhoot hai dhoka .hai.......

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

AYAH. .....11


وَإِذَا قِيلَ لَهُمْ لَا تُفْسِدُوا فِي الْأَرْضِ قَالُوا إِنَّمَا نَحْنُ مُصْلِحُونَ

And when it is said to them: \Make not mischief on the earth,\" they say: \"We are only peacemakers.\" (Al-Baqarah 2:11)"

Wa-itha qeela lahum la tufsidoo fee al-ardi qaloo innama nahnu muslihoona

EXP........

Baat yahin khtam nahi hui ab inki aur batain bataye ja rahi hain.

Jab inse kaha jata hai zameen main fasad na karo....to ye kahte hain hum to islah karne vale hain.
Iska matkab ye log zameen main logon ko ladhvane jhagadhvane ka bhi kaam karte hain aur jab inko roka jata hai to galti maante nahi aur kahte hain hum kahan ladhvate hain hum to islah yani dosti karvate hain.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

AYAH. ...12


أَلَا إِنَّهُمْ هُمُ الْمُفْسِدُونَ وَلَٰكِنْ لَا يَشْعُرُونَ

Verily! They are the ones who make mischief, but they perceive not. (Al-Baqarah 2:12)

Ala innahum humu almufsidoona walakin la yashAAuroona

EXP......

Allah Ta'alah farma rahe hain khabardaar ho jao yehi log fasad karne vale hain lekin jante nahi.

Yani inki bimari itni badh chuki hai ki fasad karte hain aur inko pata bhi nahi chalta.

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

AYAH. ...13


وَإِذَا قِيلَ لَهُمْ آمِنُوا كَمَا آمَنَ النَّاسُ قَالُوا أَنُؤْمِنُ كَمَا آمَنَ السُّفَهَاءُ ۗ أَلَا إِنَّهُمْ هُمُ السُّفَهَاءُ وَلَٰكِنْ لَا يَعْلَمُونَ

And when it is said to them (hypocrites): \Believe as the people (followers of Muhammad Peace be upon him , Al-Ansar and Al-Muhajirun) have believed,\" they say: \"Shall we believe as the fools have believed?\" Verily, they are the fools, but they know not. (Al-Baqarah 2:13)"

Wa-itha qeela lahum aminoo kama amana alnnasu qaloo anu/minu kama amana alssufahao ala innahum humu alssufahao walakin la yaAAlamoona

EXP.......

jab inse kaha jata hai ki imaan le aao jaise ke dosre log jaise sahaba layeen hain.to ye kahte hain ki kya hum aesa imaan laye jaise bevkoof layeen hain.sahaba jo apna sab kuch chodh kar Makkah se Madina deen bachane ke liye aaye the vo inko bevkoof nazar aate the ki deen ki khatir duniya ka itna nuqsaan kiya.

Aaj bhi kuch log har cheez ko sirf paisoon main tolte hain ...ki ye deen ka kaam isko karne se to duniya ka koi fayeda nahi hoga na paisa milenga na kuch to jo deen ke liye itna sadqa karte hain qurbani karte hain vo inko bevkoof lagte hain.

Allah ta'alah farmate hain balki ye khud bevkoof hai lekin ilm nahi rakhte.

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

AYAH. .....14


وَإِذَا لَقُوا الَّذِينَ آمَنُوا قَالُوا آمَنَّا وَإِذَا خَلَوْا إِلَىٰ شَيَاطِينِهِمْ قَالُوا إِنَّا مَعَكُمْ إِنَّمَا نَحْنُ مُسْتَهْزِئُونَ

And when they meet those who believe, they say: \We believe,\" but when they are alone with their Shayatin (devils - polytheists, hypocrites, etc.), they say: \"Truly, we are with you; verily, we were but mocking.\" (Al-Baqarah 2:14)"

Wa-itha laqoo allatheena amanoo qaloo amanna wa-itha khalaw ila shayateenihim qaloo inna maAAakum innama nahnu mustahzi-oona


EXP.....

jab ye imaan valoon se yani muslims se milte hain to kahte hain hum bhi imaan laye hain muslims hain.aur jab ye apne shaitaano ke saath akele main hote hain to unse kahte hain. ..hum to tumhare saath hain.....hum to unke saath masaq karte hain.

Madina ke munafiqeen jab Makkah ke mushrikeen se milte to kahte hum to tumhare saath hai jab jews se milte to kahte hum to tumhare saath hain aur aap SAW aur musalmano se to hum masaq karte hain.

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

AYAH. ...15

اللَّهُ يَسْتَهْزِئُ بِهِمْ وَيَمُدُّهُمْ فِي طُغْيَانِهِمْ يَعْمَهُونَ

Allah mocks at them and gives them increase in their wrong-doings to wander blindly. (Al-Baqarah 2:15)

Allahu yastahzi-o bihim wayamudduhum fee tughyanihim yaAAmahoona

EXP.....

Allah inse masaq kar raha hai ye jo sarkashi kar rahe hain isme inko dheel de raha hai ki karo aur kitna karte ho....aur ye andhe bankar bhatak rahe hain.

Jab koi galat kaam karta hai aur Allah ki pakad nahi hoti to vo aur bekhauf ho kar galat kaam karta hai balki asal main vo Allah ki taraf se use dheel mil rahi hoti hai.

Har insaan Allah ki grip main hai koi bhag nahi sakta pehle dheel di jati hai Allah ki taraf se lekin jab gunah karte karte insan particular hadd se aage badhta hai to uski rassi kheech li jati hai. Phir use duniya main bhi saza milti hai aur aakhrat main milegi vo alag.

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

AYAH.....16


أُولَٰئِكَ الَّذِينَ اشْتَرَوُا الضَّلَالَةَ بِالْهُدَىٰ فَمَا رَبِحَتْ تِجَارَتُهُمْ وَمَا كَانُوا مُهْتَدِينَ

These are they who have purchased error for guidance, so their commerce was profitless. And they were not guided. (Al-Baqarah 2:16)

Ola-ika allatheena ishtarawoo alddalalata bialhuda fama rabihat tijaratuhum wama kanoo muhtadeena

EXP....

Bataya ja raha hai ki ye log aese log hain jinhone hidayat ke badle apne liye gumrahi ko pasand kiya. ..aur hidayat de kar gumrahi ko khareed liya...ye kaisa business kiya inhone ....aese business se inhe koi fayeda nahi hoga aur inko kabhi bhi hidayat nahi milegi.

.➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

Humne surah fatiha main hidayat ki dua ki thi to bataya gaya ki ....Qur'an to sab padhenge lekin is kitaab se hidayat kisko milegi kisko nahi milegi.

To be continued. ............

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *