SURAH E BAQARA TAFSIR PART 9

6:11 AM

GLORIOUS QUR'AN

PART 9


SURAH BAQARAH ( THE COW )

BISMILLAH HIRRAHMAAN NIR RAHEEM

Pichle lesson main hum log munafiqeen ke bare main baat kar rahe the....... munafiqeen ke bare main bahot sari aayate quran main hain ...kyonki ye log bhatak chuke hai aur inke liye azaabe Aleem hai inke jhoot bolne aur dhoka dene ki vajah se.

Allah Taa'la ne inka zikr kiya ki inke andar kya kya characteristic hai to hamain dekhna hai ki kahin ye hamare andar to nahi .

HADEES KA MAFHOOM(EXP)

Aap SAW ne farmaya jinke andar ye 4 qualities hongi vo munafiq yani hypocrite hai.

1..... jhoot..... hamesha baat baat par jhoot bolte hain.

2...... jab bhi unke saath koi maamla hota hai aur unki marzi ke khilaaf baat hoti hai to ladne lagte hain unki language change ho jati hai.... kharaab language use karte hain galiyaan dekar baat karte hain.

3....... unke paas jab koi amanat rakhwaye jati hai to khayanat karte hain.
......amanat sirf ye nahi hoti ki apni koi cheez kisi ke paas rakhwaye jaye .

amanat wo baat bhi hai ki jab hum kisi se kehte hai ki ye baat kisi se na kehna ya aap kisi se mashvara le rahe hain ya kuch aese apne secrets hai jo aap nahi chahte ke sab ko pata chale to ye usme bhi khayanat karte hain.yani aap ke raaz nahi rakhte dosroon ko bata dete hain. .

4........ agar apse vada karenge to vada khilafi karenge.vade ka khyal nahi karenge.

Ak momin ke andar ye charo cheeze nahi hoti vo kabhi jhoot nahi bolta... gusse main bhi uski language change nahi hoti. vada karta hai to apna vada poora karta hai ,phir agar uske paas koi amaanat rakhwai jati hai to amanat me khayanat nahi karta.


Ab Allah Taa'la ne Qur'an main examples de kar yehi baat ko samjhaya hai. examples se baat aur achche se clear ho jati hai. . Qur'an ki misale thodi tough hoti hain.

To iske liye hamain Allah taa'la se dua karni chahiye ki Ae Allah aap jo hamain samjhana chahte hain vo hamain samajh main aa jaye.

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

AYAH. .....17


مَثَلُهُمْ كَمَثَلِ الَّذِي اسْتَوْقَدَ نَارًا فَلَمَّا أَضَاءَتْ مَا حَوْلَهُ ذَهَبَ اللَّهُ بِنُورِهِمْ وَتَرَكَهُمْ فِي ظُلُمَاتٍ لَا يُبْصِرُونَ

Their likeness is as the likeness of one who kindled a fire; then, when it lighted all around him, Allah took away their light and left them in darkness. (So) they could not see. (Al-Baqarah 2:17)

Mathaluhum kamathali allathee istawqada naran falamma adaat ma hawlahu thahaba Allahu binoorihim watarakahum fee thulumatin la yubsiroona


EXP.......

Munafiqeen main bhi types thi kuch aese the jo pehle to sachche dil se muslim hue lekin phir duniya ki mohabbat. ..khwashiyaat desires ...ki vajah se munafiq ho gaye.itni badi naymat jo inhe mili thi usko thukra diya ...ab ye sirf oper se muslim the logon ko dikhane ke liye lekin ander se islam inke ander nahi tha ....usi ko Allah ta'alah ne ak example se samjhaya ki ye log aese hi hain ....jaise....

Jaise koi andhere main (kufr shirk jahalat ke andhere main aaya) usne vahan aag jalaye( islam ki sahi rah dikhaye) aur us aag se pora mahool roshan ho gaya ...to Allah ne inke ander ki roshni le li ab ye dekh nahi sakte.

Pehle ye log jahil the jo marzi aaye vo karte the aap SAW aaye islam layee jo noor tha light thi jisme har cheez nazar aa rahi thi sab log us roshni main aane lage lekin kuch logon ne roshni main aakar bhi andhere main rahna pasand kiya us roshni se fayeda nahi uthaya ...to Allah ne unke ander ka noor hi unse cheen liya. Ab vo roshni main to hain lekin andhoon ki tarah ... jaise kisi andhe ko kitni bhi roshni main bitha diya jaye use koi fayeda nahi hota isi tarah inko bhi Allah ne saza di aur inke ander ka noor hi cheen liya ki ab inko koi baat samjh main nahi aati .ye saza di Allah ne inko haq pahuchane ke baad use qubool nahi karne ki.

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

AYAH. ....18

صُمٌّ بُكْمٌ عُمْيٌ فَهُمْ لَا يَرْجِعُونَ

They are deaf, dumb, and blind, so they return not (to the Right Path). (Al-Baqarah 2:18)

Summun bukmun AAumyun fahum la yarjiAAoona


EXP......

Ab inki halat behre gungoon aur andhoon ki tarah hain ye ab dobara seedhe raste par nahi lotenge.

Jab insan duniya ki zindagi main itna doob jata hai ki use haq dikhta hai phir bhi use qubool nahi karta to Allah Ta'alah usse haq ko dekhne sunne bolne ki sari salahite cheen lete hain.ye saza hai Allah ki duniya main.

Aese logon ko kabhi hidayat nahi milti.ye nahi palat te.

.➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

AYAH. ......19

أَوْ كَصَيِّبٍ مِنَ السَّمَاءِ فِيهِ ظُلُمَاتٌ وَرَعْدٌ وَبَرْقٌ يَجْعَلُونَ أَصَابِعَهُمْ فِي آذَانِهِمْ مِنَ الصَّوَاعِقِ حَذَرَ الْمَوْتِ ۚ وَاللَّهُ مُحِيطٌ بِالْكَافِرِينَ

Or like a rainstorm from the sky, wherein is darkness, thunder, and lightning. They thrust their fingers in their ears to keep out the stunning thunderclap for fear of death. But Allah ever encompasses the disbelievers (i.e. Allah will gather them all together). (Al-Baqarah 2:19)

Aw kasayyibin mina alssama-i feehi thulumatun waraAAdun wabarqun yajAAaloona asabiAAahum fee athanihim mina alssawaAAiqi hathara almawti waAllahu muheetun bialkafireena

EXP.....

Ab dosre type ke munafiqeen ka example diya ja raha hai...ye pick and choose karte hain yani deen ki vo cheeze lete hain jinmain inhe fayeda nazar aata hai aur deen ke jab mushkil hukum aate hain to apne kanoo main ungli daal lete hain sunna hi nahi chahte unpar chalna inhe maut lagta hai..

Jaise kuch logo ko jab Qur'an ke hukum sunye jate hain to sunna hi nahi chahte ki .....

Inki misaal aesi hai jaise aasmaan se barish hui yani Qur'an ki barkat inhe hasil hui kisi ne inko Qur'an sunaya samjhaya padhaya...jisme andhere bhi the kadak bhi thi bijli bhi thi...yani Qur'an ke kuch mushkil hukum the to inhone apni ungliyaan kano main daal di.maut ke dar se usme inko apni maut nazar aaye....yani na Allah ka hukum suna na uspar amal kiya aese logon ko Allah ne kafir kaha yani Allah ke hukum ka inkaar karne vale.aur ye sab Allah ke ghaire main hain koi Allah se bach nahi sakta . Allah Ta'alah sab ko dekh rahe hain ki kon kya kar raha hai. ...

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

AYAH. .....20

يَكَادُ الْبَرْقُ يَخْطَفُ أَبْصَارَهُمْ ۖ كُلَّمَا أَضَاءَ لَهُمْ مَشَوْا فِيهِ وَإِذَا أَظْلَمَ عَلَيْهِمْ قَامُوا ۚ وَلَوْ شَاءَ اللَّهُ لَذَهَبَ بِسَمْعِهِمْ وَأَبْصَارِهِمْ ۚ إِنَّ اللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ

The lightning almost snatches away their sight, whenever it flashes for them, they walk therein, and when darkness covers them, they stand still. And if Allah willed, He could have taken away their hearing and their sight. Certainly, Allah has power over all things. (Al-Baqarah 2:20)

Yakadu albarqu yakhtafu absarahum kullama adaa lahum mashaw feehi wa-itha athlama AAalayhim qamoo walaw shaa Allahu lathahaba bisamAAihim waabsarihim inna Allaha AAala kulli shay-in qadeerun

EXP......

Qareeb hai ki bijli inki aankhoon ki roshni le jaye..yani inka aesa behavior kahin inke soochne samjhne ki taqat na le jaye....
Jab roshni dikhti hai to chalne lagte hain. .yani koi asaan hukum jisme inhe fayeda hota hai to maan lete hain. Lekin jab andhera aata hai yani koi mushkil hukum aata hai to vahi khadhe ho jate hain aage badhna nahi chahte usko maante nahi hain bahane banate hain.agar Allah chahta to inke sunne ki quvvat dekhne ki quvvat le jata Allah har cheez par qadir hai....

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖


Agar aajkal ke lihaaz se dekhen to Ye log imaan ke kamzor hai deen main shak karte hain iska bahot bada reason lack of knowledge hai ...musalmaan to hain kyonki muslim ghar main paida hue hain lekin deen ki koi knowledge nahi qayamat ke din main shak hai dobara uthkar Allah ke paas jayenge usme shak hai bas ye samjhte hai ki bas duniya hi sab kuch hai isliye deen ko sirf naam ke liye use karte hain.karte vohi hain jo inka dil chahta hai . Qur'an padhna padhana inhe pasand nahi ki pata chal gaya to amal karna padega. ..

Aese logon ko bhi Allah ta'alah saza dete hain ....lekin inke oper mohar nahi lagi hai agar ye duniya ki mohabbat se niklenge ...ilm hasil karenge deen main shak karna chodhenge . Jhoot dhoka chodh denge....imaan layenge .......to muttaqeen ki category main aa sakte hain ...lekin agar ye sab nahi chodha ........duniya main dube rahe har baat main shak kiya amal nahi kiya to bhatakte rahenge phir unhe saza milegi sab kuch hote hue bhi andhe behroon ki tarah zindagi guzarenge aur inhe kabhi bhi hidayat nahi milegi Allah ki taraf se chahe kitni baar bhi Qur'an padh leen koi fayeda nahi hoga. qayamat ke din second category valoon se bhi zyada dardnaak azaab inhe diya jayega.

Hum ko Qur'an shuru karte hi bata diya gaya ki khud ki category hum decide kar leen ki kis halat main hain...

To be continued. .......

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *