SURAH E BAQARA (The cow) TAFSIR PART 10
6:08 AM
GLORIOUS QUR'AN
PARA➖1
PART 10
SURAH BAQARAH( THE COW )
BISMILLAH HIRRAHMAAN NIR RAHEEM
Logon ke teen groups aur unke anjaam batane ke baad ab Allah Ta'ala ayat No.21 se hum logon se baat kar rahe hain. .... jab Allah Ta'ala hum se koi baat karte hain to vo is tarah pukarte hai.
1......ya ayyuhannaas......ae logon isme address tamam insaniyat se hota hai yani o mankind ye ayate prove karti hain ki Qur'an sari insaniyat ke liye hai. Sirf muslims ke liye nahi hai.
2.........ya ayyuhallathina aamanu.......ae logon jo imaan laye ho.....isme address khas toor par muslims se hota hai unko koi hukum dena hota hai ya koi nasihat karni hoti hai ya kuch samjhana hota hai.
3.....ya bani adam....kah kar bhi Allah ta'alah baat karte hain sab se ak saath.
yahan Allah ta'alah sab se baat kar rahe hain....
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
AYAH. ....21
يَا أَيُّهَا النَّاسُ اعْبُدُوا رَبَّكُمُ الَّذِي خَلَقَكُمْ وَالَّذِينَ مِنْ قَبْلِكُمْ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُونَ
O mankind! Worship your Lord (Allah), Who created you and those who were before you so that you may become Al-Muttaqun (the pious - see V.2:2). (Al-Baqarah 2:21)
Ya ayyuha alnnasu oAAbudoo rabbakumu allathee khalaqakum waallatheena min qablikum laAAallakum tattaqoona
EXP........
In ayatoon se Allah Ta'alah ka behisaab pyar mehsoos hota hai ...ki Allah ta'alah ne teen groups to bata diye ki second ke liye bada azaab hai third ke liye dardnaak azaab hai ....lekin Allah Ta'alah to bahot mauf karne vale hain ab vo hum sab ko vo baatain samjha rahe hain taki hum kisi bhi tarah ke azaab se bach jayeen.Allah Ta'alah kisi ko jahannam main daalna nahi chahte lekin insan ne apni aqal se kaam lena band kar diya hai kyonki duniya ki mohabbat main dooba hua hai..
Ayat no.21 main Allah ta'alah kah rahe hain.Ae logon apne Rab ki ibadat karo jisne tumko paida kiya aur unlogon ko bhi paida kiya jo tumse pehle the.....taki tum bach jao . muttaqeen ban jao jannat hasil kar sako.
1....ibadat karo taki jahannam se bach jao...
2...ibadat karo kyonki usne agle pichloon sab ko paida kiya. ..agar vo paida na karta to ...kya hamare ander itni taqat thi ki is duniya main aa jate ....is baat ka ahsaan maanne aur Rab ke aage jhukne ki bajaye insan din raat uski na farmani karta hai. ..
Allah Ta'alah farmate hain humne jinno aur insano ko apni ibadat ke liye banaya...
Allah Ta'alah kah rahe hain..... Agar tum chahte ho ki bach jao us azaab se to sirf ak Allah ki ibadat karo.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
AYAH. ....22
الَّذِي جَعَلَ لَكُمُ الْأَرْضَ فِرَاشًا وَالسَّمَاءَ بِنَاءً وَأَنْزَلَ مِنَ السَّمَاءِ مَاءً فَأَخْرَجَ بِهِ مِنَ الثَّمَرَاتِ رِزْقًا لَكُمْ ۖ فَلَا تَجْعَلُوا لِلَّهِ أَنْدَادًا وَأَنْتُمْ تَعْلَمُونَ
Who has made the earth a resting place for you, and the sky as a canopy, and sent down water (rain) from the sky and brought forth therewith fruits as a provision for you. Then do not set up rivals unto Allah (in worship) while you know (that He Alone has the right to be worshipped). (Al-Baqarah 2:22)
Allathee jaAAala lakumu al-arda firashan waalssamaa binaan waanzala mina alssama-i maan faakhraja bihi mina alththamarati rizqan lakum fala tajAAaloo lillahi andadan waantum taAAlamoona
EXP...
Allah vo hai jisne tumhare liye is zameen ko farsh ki tarah banaya agar vo flat na hoti to hum kaise chalte...aur aasmaan ko roof yani chat ki tarah banaya...aur aasmaan se pani bheja jiske zariye se tumhare khane ke liye phal paida kiye...yahan arabic main samaraat use hua hai usme zameen se paida hone vale sare crops ...fruits ...vegetables ...sab kuch aata hai.jab ye sab kuch dene vala Allah hai tumhe paida karne vala Allah hai to uske saath kisi aur ki ibadat mat karo...aur ye baat tum jaante ho...ki sab kuch ak Allah ne banaya hai ...
Pehla hukum jo pori insaniyat ko diya ja raha hai vo sirf aur sirf ak Allah ki ibadat ka hai.ki kisi aur ki bhi uske saath ibadat kar ke uske saath shirk na karo.
Shirk ....shirkat se hai.
Jaise kisi company ke hum 3 partner khud se bana leen jab ki vo company establish karne vala sirf ak hi ho ...aur jinko hum partner bana rahe hoon unka koi status na ho aur hum unko aesi izzat deen jaise real owner ko deni chahiye thi ..isko kahte hain partners bana lena ...Allah Ta'alah ko khud ke saath aese partners pasand nahi usi ke liye mana kiya ja raha hai ki.... jab sab kuch usi Allah ne banaya hai ...to ibadat usi ki karo uske saath partners mat banao shirk mat karo...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
AYAH. ...23
وَإِنْ كُنْتُمْ فِي رَيْبٍ مِمَّا نَزَّلْنَا عَلَىٰ عَبْدِنَا فَأْتُوا بِسُورَةٍ مِنْ مِثْلِهِ وَادْعُوا شُهَدَاءَكُمْ مِنْ دُونِ اللَّهِ إِنْ كُنْتُمْ صَادِقِينَ
And if you (Arab pagans, Jews, and Christians) are in doubt concerning that which We have sent down (i.e. the Qur'an) to Our slave (Muhammad Peace be upon him ), then produce a Surah (chapter) of the like thereof and call your witnesses (supporters and helpers) besides Allah, if you are truthful. (Al-Baqarah 2:23)
Wa-in kuntum fee raybin mimma nazzalna AAala AAabdina fa/too bisooratin min mithlihi waodAAoo shuhadaakum min dooni Allahi in kuntum sadiqeena
EXP.....
Ab sab ko open challenge diya ja raha hai ki agar tum main se kisi ko bhi is Qur'an par shak hai jo Allah ne Aap SAW par nazil kiya hai to ak surah isi tarah ki bana kar le aao..aur vo surah banane main jiski chahe help le lo Allah ko chodh kar agar tum sachche ho.
Yani agar tumhe aesa lagta hai ki ye words Allah ke words nahi...to tum bhi aesi surah bana kar dikhao phir chahe jiski chahe help le lo.
Ye aesa challenge hai jo aaj tak koi bhi pora nahi kar saka.jo apne aap main itna bada proof hai ki ye sirf aur sirf Allah ke zariye bheji hui kitaab hai.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
AYAH. ..24
فَإِنْ لَمْ تَفْعَلُوا وَلَنْ تَفْعَلُوا فَاتَّقُوا النَّارَ الَّتِي وَقُودُهَا النَّاسُ وَالْحِجَارَةُ ۖ أُعِدَّتْ لِلْكَافِرِينَ
But if you do it not, and you can never do it, then fear the Fire (Hell) whose fuel is men and stones, prepared for the disbelievers. (Al-Baqarah 2:24)
Fa-in lam tafAAaloo walan tafAAaloo faittaqoo alnnara allatee waqooduha alnnasu waalhijaratu oAAiddat lilkafireena
EXP......
Phir agar tum ye na kar sako aur hargiz tum nahi kar sakoge ...to daro us aag se jiska fuel insan aur patthar honge jo tayyar ki ja chuki hai haq ka ...ak Allah ki ibadat ka inkaar karne valoon ke liye.
إِنَّكُمْ وَمَا تَعْبُدُونَ مِنْ دُونِ اللَّهِ حَصَبُ جَهَنَّمَ أَنْتُمْ لَهَا وَارِدُونَ
Certainly! You (disbelievers) and that which you are worshipping now besides Allah, are (but) fuel for Hell! (Surely), you will enter it. (Al-Anbiya 21:98)
1...... Is ayat se pata chalta hai Allah ke siva jiski ibadat ki jayegi.... insanoon ke saath unhe bhi jahannam main jalaya jayega ...
2.....Yahan bata diya gaya ki Qur'an jaisi koi kitaab kabhi bhi koi nahi bana sakta .....
3.....Jahannam abhi exist karti hai maujood hai banaye ja chuki hai....
4.....Sari insaniyat ko ak Allah ki ibadat karne ko kaha ja raha hai......
5......Ak Allah ki ibadat se inkaar karne par jahannam ki saza ki warning di gaye hai.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
AYAH. ....25
وَبَشِّرِ الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ أَنَّ لَهُمْ جَنَّاتٍ تَجْرِي مِنْ تَحْتِهَا الْأَنْهَارُ ۖ كُلَّمَا رُزِقُوا مِنْهَا مِنْ ثَمَرَةٍ رِزْقًا ۙ قَالُوا هَٰذَا الَّذِي رُزِقْنَا مِنْ قَبْلُ ۖ وَأُتُوا بِهِ مُتَشَابِهًا ۖ وَلَهُمْ فِيهَا أَزْوَاجٌ مُطَهَّرَةٌ ۖ وَهُمْ فِيهَا خَالِدُونَ
And give glad tidings to those who believe and do righteous good deeds, that for them will be Gardens under which rivers flow (Paradise). Every time they will be provided with a fruit therefrom, they will say: \This is what we were provided with before,\" and they will be given things in resemblance (i.e. in the same form but different in taste) and they shall have therein Azwajun Mutahharatun (purified mates or wives), (having no menses, stools, urine, etc.) and they will abide therein forever. (Al-Baqarah 2:25)"
Wabashshiri allatheena amanoo waAAamiloo alssalihati anna lahum jannatin tajree min tahtiha al-anharu kullama ruziqoo minha min thamaratin rizqan qaloo hatha allathee ruziqna min qablu waotoo bihi mutashabihan walahum feeha azwajun mutahharatun wahum feeha khalidoona
EXP....
Ab bataya gaya ki jo log ak Allah ki ibadat karenge.imaan layenge maan jayenge aur achcha kaam amale saleh ...Righteous deeds karenge.......amale saleh vo kaam hain jo sunnat ke mutabiq ho jaise aap SAW ne bataye hoon jisme bidaat na ho..innovation na ho to hi vo qubool honge varna nahi....
to aese logon ke liye jannate hain jiske neeche se nehre beh rahi hongi.unhe duniya ki tarah ke milte julte phal khane ko diye jayenge kyonki naye cheez se insaan ghabrata hai. Jab bhi unko khane ke liye koi phal diya jayega to vo kahenge ye to vo hi hai jo hamain pehle diye gaye the.lekin jannat ke phaloon ka taste duniya ke phaloon se alag hoga vo bahot zyada meethe honge . aur unke liye vahan pakeeza spouses... bivi ya shohar... honge..... pakeeza... jismani aur ruhani gandagi se paak. aur vo usme hamesha rahenge.
Sirf imaan lane se kuch nahi hoga saath main achche kaam bhi karne honge shirk se bhi bachna hoga to jannat milegi.
Yahan Jannat ki khushkhabri di gaye imaan ke saath naik kaam karne valoon ke liye.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
To be continued. .....

0 Comments