Types of SHIRK Urdu , Hindi Islamic bayan

1:45 AM


Part 2

Types of shirk

1.Allah ke siwa kisi aur  ko musibat ya pareshani main pukarna ya madad ke liye pukarna jo maujood nahin hai zinda nahi hai. shirk hai  .

Jaise ghause azam / ya khwaja ghareeb nawaz / ya nabi / ya ali .... Etc  agar asbab samne hai jaise bimari me doctor , police for insecurity ,agar gaddhe me gir jaye aur koi upar hai to usko hath dekar madadke liye pukarna jayaz hai........ Etc.. . . .


2 .SHIRK. . . .Dori/dhage / seepi / kodi / moti / stone / metal / angoothi / chhalla / mala / nibu / mirchi / taweez / qabr ki mitti / kapda / kaaghaz / padhe hue keelen / huroofe muqattaat/ ghode ki naal / imaam zamin---> bandhna , gale me ya ghar me ya car me chipkana , thokna, latkana , tona totka dabana.............. hifazat barkat  ke liye  ki hamari hifazat karenge: sab shirk hai. . . . .Shirk.


3. Ganda___ dhage par quran me se kuch padhkar phoonk kar githane bandh kar pehanna shirk hai .Allah ne to hamain phoonk mar kar ghanth bandhne wali aurton se khud ki panah mangna sikhaya hai surah falaqq main.Shirk. hai.

4 .Taweez___ chahe usme numbers wala naqsh ho / ya Allah ka naam / ya ayatul kursi / ya poora quran ye sab pehanna pehnana latkana shirk hai. . . . .. shirk.. ._

5__Tilismi moti___ teeth nikalte waqt bachchon ke gale me kale dhage me jo  dalte hain yeh shirk hai .jab dant nikalna honge tabhi niklenge insab se kuch nahi hota Atqaad khraab hota hai Allah ko pasand nahi aur iska koi medicinal use bhi nahi hai.

.5..___Tughra___ Allah ke naam/ charon qul/ ayatul kursi /  quran ya huroofe muqatta-at/kaabe ka darwaza etc gharon ya dukano me is niyat se lagana ki barkat ho ,nazar se bache,shaitan na aye,hifazat ho ye shirk hai haan sirf decoration, ya dekh kar bar bar padhenge is liye lagaya ja sakta hai. .

6.___Car hangings___ paper /iron/copper jis par Allah ka naam/ayatul kursi ya kuch bhi likha ho car me hifazat ke liye rakhna ya for same reason quran ki copy rakhna shirk hai .vo bhi galat hai agar niyat ye hai ki aesa rakhne se koi musibat nahi ayegi agar isliye rakh rahe hain ki agar time milega to quran padh lenge koi surah yaad kar lenge. Ya safar ki dua dekhkar yaad rahega ki dua padhkar gadi main bhethna hai to vo theek hai.shirk nahi hai.

Hamara pore deen ki buniyaad niyat par hai ki ander kya sooch rahe hain.
[7:20PM, 14/03/2015] Shahbano Appi Quran Grp: SHIRK (zulm Allah par)


Part 3

1.Allah ke alawa kisi aur ke liye nazro -niyaaz manna shirk hai.

🔹Dargah /alam/taziye par jana , chadhawe chadhana, dua mangna ,tawaaf karna shirk hai   🔹


2.  Jadu karna jadu karvana kufr hai jo shirk ka sabab banta hai , faal kholna ya parchiyen nikalkar apni qismat maloom karna shirk hai   .


3_ Nazar se bachne ke liye kala teeka lagana , ya body par saleeb/cross ka nishan banana, dinon yani days ko lucky ya unlucky samajhna like mangal, shani etc shirk hai  🔹


4...horoscope / zodiacal signs par yaqeen karna aur apni taqdeer janne ki koshish karna shirk hai isi tarna haath  dikhana apni kismat maloom karna.
Sitaroon se kismat maloom karne ki koshish karna sab shirk hai.


Supplication For Fear Of Shirk


اَللَّهُمَّ إِنِّيْ أَعُوْذُ بِكَ أَنْ أُشْرِكَ بِكَ وَأَنَا أَعْلَمُ، وَأَسْتَغْفِرُكَ لِمَا لاَ أَعْلَمُ

‘O Allaah, I take refuge in You lest I should commit shirk with You knowingly and I seek Your forgiveness for what I do unknowingly.’

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *