SHIRK (zulm Allah par) bayan in Urdu Hindi

1:42 AM


SHIRK( zulm  Allah par)

Part 1

Bismillah
Ye duniya ak examination hall hai aur hum har vaqt duniya ka koi na koi question solve kar rahe hote hai.aur Allah SWT dekh rahe hote hain ki hum kya kar rahe hain us question ko kaise solve karte hain. Chalain isko aese samjhte hain  ki suppose koi hai jo bahot bimaar hai uski bimari theek hi nahi ho rahi vo Allah se khoob dua kar raha hai lekin uski nahi suni ja rahi kyonki Allah ne uski kismat main likha hai ki aaj se ak mahine baad uska koi dost use milega jo use us us doctor ke paas lejayega khud paise dega ilaaj karvayega aur vo theek ho jayega.  ab ye Allah ka banda hai Allah ki zaat par ise yaqeen bhi hai taqdeer par bhi yaqeen hai  ab iske paas do options hain ya to dua karta rahe aur Allah par bharosa rakhe ya galat jagah se madad mange aur shirk kare  Allah par zulm kare aur imaan gavan de.
Ab ye dua karta hai 15 guzar jate hain aur kuch nahi hota to shaitaan ko moqa mil jata hai vo iske paas kisi ko bhejta hai ki hum us dargah par chalte hai vahan dua karte hain ya tum koi taveez pahan lo isse theek ho jaoge.ab agar insan na umeed ho kar shaitan ki baat sun leta hai aur taveez pahanta hai ya dargah par jata hai aur theek 15 din baad uska vo dost aata  hai jiska aana iski taqdeer main likha tha aur uska ilaaj karvata hai aur ye theek ho jata hai to shaitaan kahta hai dekho tumne ye taveez pahna aur dargah par gaye isse theek ho gaye.aur ye insan bhi yehi samjhne lagta hai to ye apne exam main fail ho jata hai aur iska imaan chala jata hai aur Allah SWT jinhone ise theek kiya vo bhi naraz ho jate hain ki theek maine kiya aur ye kah raha hai ki dargah ya taveez se theek hua.

Ise shirk kahte hain ki Allah SWT  par zulm karna ki Allah ko  chodhkar kisi aur cheez par bharosa karna Allah par taqdeer par bharosa na karna. Allah ke bajaye khud ki sunna dosroon ki sunna . Allah ke bajaye kisi aur ki baat ko importance dena sab kuch diya aapko Allah ne aur baat aap kisi aur ki mane mohabbat kisi aur se kare ahsan kisi aur ka mane bharosa kisi aur par karen .isko Allah SWT apne oper zulm samjhte hain aur is cheez se Allah SWT ko takleef hoti hai.

Allah tallah ne insan ko paida kiya  hamain itna achcha jism diya ankhain kaan haath peer diye.  Alhumdulillah hum chal sakte hain dekh sakte hain bol sakte hai phir itne achche maa baap diye bhai behan rishte phir hamare liye itni khoobsurat duniya banaye taki hum araam se rah sake badle main humse kya chaha ki hum iski itaat kare na farmani na kare us par bharosa kare usi se mohabbat kareen jab koi mushkil aaye to usi ko madad ke liye pukare.

Lekin hum uski din raat nafarmani karte hai phir bhi vo hamain diye chala jata hai lekin ye gunah aesa hai jisko vo zulm samjhta apni zaat ke liye jise vo kabhi nahin bakshega vo hai shirk jinhone shirk kiya hoga Qayamat ke din Allah SWT aese logon ki taraf dekhenge bhi nahi na unse baat karenge.

SHIRK KYA HAI

1.kisi se aesi mohabbat karna jaise Allah ka haq hai.jaisi mohabbat Allah se karni chahiye. Pathar ko khuda banana kisi buzurg se aqidat rakhna .ki yehi sab ku theek kar sakta hai aur koi nahi.

2.madad ke liye Allah ko chodh kar insano ko pukarna aur ye samjhna ki ye hamain mushkil se bachayenge. Insan ko sirf zariya samjhna chahiye ki Allah ne madad ki ise hamari madad ke liue bheja.


3. Qabro par jana unse mangna ki ye qabr vale Allah se hamari sifarish karenge jab ki vo to mar chuke hai unka to is duniya se koi talluq  hi nahin hai
Qabr vale na sunte hai na bolte hai lekin majority of Muslims hinduoon ko dekh kar qabro ki pooja shuru kar dete hai. Ye Allah par bahot bada zulm hai .Qayamat ke din Allah SWT kahenge bulao un ko khud ko chudhane ke liye jinko tum duniya main mujhe chodh kar pukarte the.

4. Maal par bharosa karna ki yehi mera sahara hai din raat paisa kamane main lagna namaze chodhna ye samjhna ki yehi maal bure vaqt main kaam ayega ye bhi shirk hai kyonki bure vaqt main Allah SWT kaam aate hain na ki maal .surah kahf main baagh vale ka kissa yaad kareen .ki ak min lagta h

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *