Love Allah Islamic Bayan in Hindi
1:47 AMLOVE ALLAH
Jab maine quran shuru kiya to akdam se khud ko change karna bahot mushkil tha . accident ke baad kafi cheeze jaise film, Tv ,gane ,ye to sirf khauf se chode the lekin phir bhi bahot kuch tha jo apne ander change karna tha.main apni teacher se kahti main hijaab nahi kar sakti .mujhse nahi hota naqab lagane main mera dam ghutta hai.abaya india main pehanne main mujhe garmi lagti hai.to vo smile deti aur kahti ki jab Allah se mohabbat ho jayegi to sab asaan ho jayega.mujhe lagta tha kya mujhe Allah se mohabbat nahi hai .aur kya hai ye mohabbat aur mujhe kab hogi.
Phir jab quran ke saath vaqt guzarta gaya aur quran ke saath saath aap SAW ki life history padhi sahaba ki life history padhi dekha ki unko Allah se kaisi mohabbat thi to thodha thodha samjh main aana shuru hua.
Mohabbat ak driving force hai jo insan se kuch bhi karva leti hai phir insan ki apni marzi nahi chalti.bas phir ye ahsaas hota hai ki jisse mohabbat hai vo khush rahe hamare kisi kaam se naraz na ho.
Phir mujhe ahsaas hua ki hum sab Allah ki Aap SAW ki izzat to karte hain lekin shayad mohabbat nahi karte isi liye hamain deen ki batain follow karne main takleef hoti hai.
Isko isse samjhte hain.jaise saudi Arabia ke naye king salmaan hain.as a king sab unki izzat karte hain.lekin jaise hi vo king bane to dhere dhere unke bare main pata chalna shuru hua ki vo hafize quran hai.bahot khoobsurat quran padhte hain.unke ander Allah ka khauf hai.namaz ki hifazat karte hain namaz ka vaqt hua to obama ko chodh kar chale gaye.jab crown prince the to aam logon ke saath tavaf karte the.
Itna sab kuch sunkar unse mohabbat bhi hui izzat ke saath ki itne achche insan hain.
Isi tarah hum sab Allah Tallah ki izzat to karte hain lekin kam jaane ki vajah se vo mohabbat nahi karte jitni karni chahiye. Agar hamain Allah se mohabbat ho jayegi to deen aur bhi asaan ho jayega.
Uske liye Allah Tallah ke bare zyada se zyada janne ki koshish karna chahiye usse milne ka shauk hona chahiye.jisse hamara usse ak rishta qayam ho sake taki hum har vaqt Allah ko apne saath mehsoos kare apne khushi gham main usko pukarain.
Allah Tallah quran main kahte hain inhone meri qadar ki hi nahi jaisi karni chahiye thi...

0 Comments