Trust Allah

1:50 AM

TRUST ALLAH

Dua qubool hone ki teen surate hoti hai n.ya to dua foran qubool ho jati hai . kyonki vo qubuliyat va vaqt hota hain

.ak surat ye hoti hai ki age jakar qubool hoti hai kyonki abhi uska vaqt nahi hota

.teesra ye ki insan Allah se vo mang raha hota hai jo uske liye theek na ho. kisi attraction ki vajah se insan ko koi cheez itni pasand aati hai ki vo chahta hai ki vo use mil jaye. Lekin  Allah Tallah ko pata hota ki vo uske liye theek nahi to aese main dua qubool nahi hoti .


Ye bilkul aese hi hai jaise beta maa se kuch mang raha ho aur uske liye khoob zid kar raha ho.lekin maa door tak ke bare main soochti hai ki abhi agar isko ye cheez de di to age suppose 5 saal baad isko isi cheez ki vajah se takleef hogi .to maa sakht ho jati hai aur bete ko vo nahi deti aese main bete ko lagta hai ki meri maa bahot zalim hai mujh par zulm kar rahi hai.lekin vo vo nahi dekh raha hota jo maa dekh rahi hoti hai.
Isi tarah Allah ko bhi pata hai ki hamare liye kya achcha hai kya bura hai lekin ye dua zaya nahi hoti Allah Tallah iske badle main age jakar usko usse behtar cheez de dete hain .isliye Allah SWT ke faisloon ko qubool karna chahiye us par bharosa karna chahiye ki usne jo hamare liye plan kiya hai vo usse behtar hoga jo humne plan kiya hai.

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *