Death

1:51 AM

DEATH

Aaj phir umrah se lot rahi  ak family ka car accident ho gaya .maa usi vaqt khtam ho gaye baap serious condition main hai aur dono bachche bach gaye Alhamdullilah .

Maut kitni yaqeeni hai sure hai .aur zindagi dhoka dene vali phir bhi log zindagi se pyar karte hain koi maut ke bare main baat karna bhi pasand nahi karta .phir uski tayyari vo to door ki cheez hai.jab log batain karte hain to goor se suna kareen ki vo kya batain kar rahe hai.karna karana kisi ko kuch nahi hota bas aese hi bas batain aur batain. lambi lambi planning aaj se das saal baad ki 20 saal baad ki .ki aesa karenge vesa karenge. Aap ne aaj tak kisi ko ye kahte hue nahi suna hoga ki main maut ki bhi tayyari kar raha hoon.  Aaj maine Apne liye Allah ke account main ye ye cheeze jama karvayeen yani aaj maine ye ye achche kaam kiye shayad Allah Tallah ise qubool kar leen to mere account main itni naikiyaan to jama ho hi gaye hongi.ab hamain ye khyal aa raha hoga ki aesa karte hain lekin sab ko nahi batate to kyon nahi batate .mana riyakari yani showoff karna mana hai lekin .....hamara pora ka pora deen ki base niyat par hai. humain ye niyat karni chahiye ki khud to naiki karenge hi saath main apnoon ko bhi lekar chalenge .har din discuss kareen ki kya kya kaam kiye .ak naiki se dosri naiki ka darvaza khulta hai.ho sakta hai discussions se aapko aur naiki karne ka moqa mile .jab ye soocha kareen na ki bank main itna balance hai itni property hai to ye bhi saath hi soocha kareen ki itni naikiyaan bhi hai .abhi mar bhi gaye to umeed hai ki Allah SWT baksh denge yani mauf kar denge. Lekin ye baat vohi sooch sakta hai jisne apna pora din ak balance se saath guzara ho .jo ak conscious personality rakhta ho ki haan aaj office aur ghar ka sara kaam ho gaya aur saath hi namaze bhi vaqt par padhi .fajir nahi chodhi sadqa bhi diya.raste main koi gareeb dikha to use khana bhi khreedkar diya .kisi ko madad ki zarurat thi to Allah ke liye uski madad bhi ki .

Zindagi bahot bahot choti hai max 70-80 saal aur kam se kam to agle second ka bhi pata nahi.isliye isko pora pora cash kareen .bilkul bhi vaqt zaya na kareen.varna kal yehi zindagi hasrat ban jayegi ki vaqt tha kash tab kuch kar lete qayamat ke din kuch aese log bhi honge jinko ak naiki kam padh jayegi vo pore maidane hashar main sab se mangenge ki bas ak tumhari naiki de do.lekin us din koi na dega .aaj hamare paas zindagi hai vaqt hai hum kitni naikiyaan kama sakte hai lekin hum to apna vaqt sirf gile shikve kar ke barbaad kar rahe hote hain.

Ye hum isliye karte hain kyonki hamain maut ki baad ki zindagi ka yaqeen nahi hai.jisse bhi agar is bare main baat karte hain to kahta hai dekha jayega abhi to jeene do.lekin ye dekha jayega vala attitude itna nuqsaan dega iska hamain andaza bhi nahi.

Ayah 40-47 surah muddasthsthir

Jannat vale Jahannum valoon se poochenge.kya cheez tumhe dosakh main layee.vo kahenge ki hum namaz padhne valo main na the.aur na hum kisi gareeb ko dekh kar use khana khilate the.aur hum behas karte the behas karne valoon ke saath. Aur hum qayamat ke din ko jhutlate the.aur isi haal main the ki maut aa gaye .

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *