Surah Baqarah (The Cow) Tafseer Part 2 in Urdu Hindi
9:38 PMGLORIOUS QUR'AN
PART 2
SURAH BAQARAH (THE COW)
Surah Baqarah Madina main hijrat ke baad nazil hui, jab musalmano ko pehli baar deen par chalne aur deen ko follow karne ki aasani mili varna Makkah main unpar islam ki vajah se zulm ho raha tha .lekin Madina main choti si riyasat qayam ho gaye thi .makkah main jo surah nazil ho rahin thin unmain Ak Allah ki ibadat , qayamat ke din Allah ko javab dena hoga ,jannat, jahannam ka zyada zikr tha .lekin ab Allah Ta'alah ne pehli baat shariyat di ke islam ko zindagi main dhalna kaise hai.
Kal humlogon ne surah fatiha padi... jo dua hai Jisme hum Allah Ta'ala se apne liye hidayat mang rahein hain . hidayat milegi to hamain sirate mustaqeem nazar ayega aur agar sirate mustaqeem hamain nazar ayega to hamain jannat ka raasta dikhega to us dua ke zariye Allah Taa'la ne hamain bataya ki logon ke teen groups hote hain. Ak group vo hai jisko Allah Ta'ala inaam karte hein ak doosra group hai jis pe Allah Ta'ala gussa hue hain aur teesra vo group Jo bhatak gaya hai.....inaam pane vala vo group hoga jo Qur'an se fayeda uthayega .Qur'an par amal karega.
Surah Baqarah ke bare main Aap SAW ne farmaya ke surah Imraan aur surah Baqarah padha karo kyun ke inka padhna bayase rahmat hai aur inka chodhna bayase hasrat hai.
Surah Baqarah main shariyat ke hukum diye gaye hain... jo un hukumoon laws ko samjh lega vo unko follow bhi karega. Aur jo Allah ke hukum par chalega to Allah ki razamandi hasil karega. .
Aap SAW ne farmaya jis ghar me surah Baqarah padhi jati hai vahan se shaitaan bhaag jata hai . shaitaan jaise hi bhagta hai to Allah ki rahmate aane lagti hain. jab hamain Allah Ta’ala ke hukum pata chalte hain aur hum amal karna shuru karte hain to shaitaan hamain whisper nahi kar pata wo agar whisper bhi karta hai. .. chupke se dil main vasvase daalta hai to hamain samajh main aa jata hai ke kya sahi hai kya galat to hum use follow nahin karte.
lekin jab hamain koi hukum pata hi nahi hoti to shaitan apna kaam aaraam se kar leta hai. isliye kaha gaya hai ki jis ghar me ye Surah Baqarah padhi jayegi us ghar se shaitan bhaag jayega.
.phir aur ak hadees hai ke Surah Baqarah aur Surah Imran qayamat ke din baadal bankar ayengi aur apne padhne waloon ke liye sifarish karengi jhagda karengi ....Allah Ta'ala se kahengi ye log hamain padha karte the to aap inhe baksh dijiye to wo bhakshvaengi .
ab ye baise hasrat kyun hain yani hasrat kon karega?????
Qayamat ke din ....Jin logon ne ye Surah Baqarah aur Surah Imran padhi hogi unko baksha ja raha hoga yani Allah Ta'alah unke gunah mauf kar denge to dosre log jinhone yeh Surah nahi padhi hogi unko us vaqt itni hasrat hogi ke kaash hum bhi padhlete to hamain bhi baksh diya jata.
isliye yeh Surah padhna aur samjhna bahot zaruri hai....ye important surah hai quran ki aur ye bahot lengthy Surah hai 286 ayate hain.iski jaisi ayate quran main repeat nahi hui hain jabki dosri surah ki kai ayatoon main repetition hai.
To be continued. ....

0 Comments