Surah Baqarah Tafseer in urdu Part 3

9:35 PM

GLORIOUS QUR'AN

PART 3

SURAH BAQARAH

SUMMERY

Surah Baqarah padhna samjhna kyon zaruri hai??????

..isko agar hum samjh kar padhte hain to shaitaan kyon bhag jata hai ak ak ayat ke explaination se pehle ak nazar pori surah Baqarah par karte hain ki isme hai kya...

1......first pare main Bani Israel ko Allah ta'alah ne address kiya hai unse baat ki hai jo jews hain Musa alehsalam ko manne vale. .ummate muslima ko apne kaam ke liye chunne se pehle Allah Ta'alah ne apne kaam ke liye Bani israel ko choose kiya tha lekin unhone Allah ka kaam yahi deen ko phailane ka kaam nahi kiya aur duniya main lag gaye to Allah Ta'alah ne unse imaamat yani leadership lekar ummate muslimah ko de di.aur apne kaam ke liye choose kiya.to unhi ko baar baar naymate yaad dilaye gayen aur unhe Aap SAW ko apna paighambar manne ko kaha gaya.inka detail explaination hai.

2...Adam alehsalam ko Allah Ta'alah ne kaise paida kiya ..aur unko ak darakht ke phal khane ke liye mana kiya to shaitan ne kaise unhe behka kar vo phal khila diya ..to unhone Allah se maufi mangi aur Allah ta'alah ne unhe mauf kar diya uska zikr hua..

3..phir Ibrahim alehsalam ko Allah ta'alah ne aazmaya aur chun liya uska zikr hua.

4..second pare main kabe ki tabdeli ka hukum aaya ki bait ul maqdas ki bajaye ab khana e kaba ki taraf rukh karke namaz padhi jayegi.ye sign tha ki ab muslims ko lead karna hai jews ko nahi aur Allah ke deen ko pori duniya tak pahunchana hai.

5...phir bataya gaya ki ye duniya ak test hai yahan har kisi ko azmaya jayega ..khauf se bhook se maal ki kami se jaan ke nuqsaan se phaloon ki kami se yani business loss se aur jo sabr karega uske liye khush khabri hai.

6..phir kaha gaya jab bhi koi mushkil aaye to sabr aur namaz se Allah se madad mango.

7..zameen aasmano main.. raat ka din main badalne main... kashtiyoon ka samander main chalna ...pani ka barasna... murda zameen ka hara hona sab Allah ki nishaniyaan hain.

8 ...ye sab dekhkar bhi kuch log Allah ke siva kisi aur se aesi mohabbat kaise kar sakte hain jaisi Allah se karni chahiye. Aese log zalim hain jo Allah ko chodhkar kisi aur ko pukarte hain.

9...pakeeza halal cheeze khane ka hukum diya gaya.

10..mara hua janver khoon khinzeer pig ka goosht aur koi bhi aesa janver jispar Allah ka naam nahi liya gaya ho kisi aur ke naam se zibah kiya ho sab ko haram kaha gaya.yani khana bilkul mana hai.

10..imaan ki definition bataye gaye ki imaan kya hai. .....Allah par ..aakhrat par...farishtoon par....Allah ki kitaboon par...uske nabiyoon par imaan lana ...Allah ki mohabbat main apna kamaya hua maal apne rishtedaroon. ..yateemoon...mohtajoon...musafiroon...haath phailane valoon ko....kisi ko azaad karane main...kharch karna....namaz qayam karna...zakaat dena...vadoon ko pora karna...tangi aur takleef main sabr karna. ..ye imaan hai ...aesa akhlaaq hona chahiye to hum kah sakte hain ki muslim hain.

11...qasas ka hukum diya gaya ..khoon ke badle khoon....yani agar koi kisi ka qatl karega to usko bhi qatl kiya jayega...ak option diya gaya diyat ka yani jiska qatl hua hai uske ghar vale qatil se uski jaan ke badle paisa le sakte hain agar chahe to.

12..apne maal ki vasiyat marne se pehle karne ko kaha gaya.

13....roze rakhne ka hukum diya gaya ki ye farz ibadat hai Ramzaan main.

14.....Rishvat lene dene ko mana kiya gaya.haram kaha gaya gunah kaha gaya.

15....chand ghat ta badhta kyon hai uska reason bataya gaya ki ye calendars hain.

16.....Allah ki rah main lado to zyatti na karo.

17...Allah ke raste main kharch karo.na kharch karna khud ko tabahi main dalna hai . kharch karna
naiki hai aur Allah naiki karne valoon ko pasand karta hai.

18.....haj umrah ka hukum aur tariqa bataya gaya.

19...kaha gaya ki imaan lakar pore islam ke hukum mano shaitaan ke qadmo par mat chalo.

20....Bataya gaya ki Allah ne sab ko pehle ak hi deen par paida kiya tha lekin logon main bigaad paida hone laga vo bhatakne lage to Allah Ta'alah ne unko sahi rah dikhane ke liye prophets bheje kitabe bheji .

21..Bataya gaya ki jannat hasil karna aasaan nahi hai.aese logon ko Duniya main sakht azmaish se guzarna padhta hai.

22.... Sahaba ne aap SAW se poocha ki hum apna maal kahan khrach kareen to Allah Ta'alah ne javab diya ki apne maan baap....rishtedaro. ..yateemo...mohtajoon...musafiroon. ....ki zarurat pori karo ...ise phir kaha gaya.

23...sharab aur jua khelne se mana kiya gaya.

24...yateem banchcho ka khas khyal rakhne ko kaha gaya..

25.....non muslims aurtoon se nikah karne se mana kiya gaya agar vo islam qubool na kareen to..chahe vo kitni bhi pasand aaye...


To be continued. ....

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *