Glorious Qur'an Introduction in Urdu hindi

9:40 PM

GLORIOUS QUR'AN

Introduction

Qur'an yani baar baar padhi jane vali par afsoos ki sabse kam samjhi jane vali kitaab .Ye vo kitaab hai jisme words Allah ke hain jo farishtoon ke sardaar jibreel alehsalam ke zariye Mohammad SAW ke dil par vahi ke zariye dhere dhere 23 years main nazil hua.
Aap SAW jab 40 years ke hue to Allah Ta'alah ne aapko as a Messenger choose kiya aur aapko dhere dhere Qur'aan milna shuru hua .Qur'an samjhne ke liye aap SAW ki life history samjhna bahot zaruri hai.

Pora Qur'an do parts main divided hai .

1..Makki surah

2..Madini surah


13 years jab aap SAW makkah main the jab jo surah nazil hui unhe makki surah kaha jata hai .
Hijrat ke baad jo bhi surah nazil huin unhe madini surah kaha jata hai.


MAKKI SURAH

1..In surah main shiddate kalam hai yani bahot hard words use kiye gaye hain. Zabardast poetry hai. Rhyming words hain .

2..kallaa word yani hargiz nahi kafi makki surah main use hua hai.

3..Allah ki vahdaniyat ka zikr hai yani vo Allah ak hi hai jiski ibadat ki jayegi.

4..Prophet’s stories hain ...25 prophets ka zikr Qur'aan main hua hai.

5..sabr aur bardasht yani tolerance ke liye kaha gaya hai.

6..mostly makki surah hurufe muqattat se shuru hoti hain yani Alif laam Meem jinhe kheechkar padha jata hai. sivaye surah Baqarah aur syrah Imran jo madini surah hai aur hurufe muqattat se shuru hoti hain.

7..qayamat ka explaination hai ki kaise aayegi kya hoga.

8..Qasam khakar baat ki gaye hai.

9 ..ya ayyohannas aur ya bani adam kahkar Allah ta'alah ne address kiya hai. Yani ae logon ae adam ki aulaad...pori insaniyat ko ak saath address kiya gaya hai jo show karta hai ki Qur'an sirf muslims ke liye nahi balki pori insaniyat humanity ke liye hai.

10..sijda tilavat hai. Yani makki surah main aesi ayate hain jisko padhkar sijda lazim hota hai.

11...Adam alehsalam aur Iblees ja kissa baar baar aata hai.jabki surah Baqarah jo madini surah hai usme bhi ak baar bhi ye kissa aaya hai.


MADINI SURAH

1...Ye surah hijrat ke baad nazil huin.

2..isme shariyat di gaye hai yani islamic laws.jisme virasat ke qanoon, shadi kisse karna jayez hai...talaq ka process. ..beva ki iddat...bachche ko dhoodh pilane ka period kitna hoga...nikah kisse kiya ja sakta hai kisse nahi..chand kyon ghat ta badhta hai. Interest haram hai . boundaries kya hain jo boundaries todega uski sazayeen bataye gayeen hain.

3...ahle kitaab yani bani israel jews ko address kar ke baat ki gaye hai.

4..bahot lambi surah hain.

5..sada narmi ka andaaz hai.

6...munafiqeen ki sazishoon ka zikr hai.

7..jo muslims ho chuke hain khas tor par unhe address kiya gaya hai ae logon jo imaan laye ho.

8...choti choti batain sikhaye gaye hain ..jaise whisper nahi karna chahiye ..mehfil main kaise bethna chahiye.

9...halal kya hai haraam kya hai bataya gaya hai.

10..virasat kaise taqseem hogi banti jayegi uske rules bataye gaye hain.

Islam aesa deen hai jo Allah ka diya hua hai isme jitne bhi laws hai Allah ke diye hain .Allah ta'alah hamare creator hain vo zyada achche se jante hain ki hamare liye kya sahi hai kya galat. Jab koi Islam ki boundaries main aa jata hai to uske oper ye compulsory hai ki islamic laws yani shariyat ki pavandi kare. Ye book of Guidance hai jo qadam qadam par guide karti hai ki kya karna hai kya nahi karna hai. Ye roshni hai jo jahalat ke andhere main rah dikhati hai......ye padhne samjhne phir amal karne ki kitaab hai.

Quran ka haq...

1...Isko tajweed se padhna.

2...iska matlab samjhna .

3..har ayat ko apne liye khas samjhna uspar goor o fikar karna reflect karna.

4...quran padhkar amal karna.

5...jo bhi jitna bhi Qur'an padhe use dosro ko bhi batana ...

Yehi mission aap SAW ko diya gaya aur yehi ummate muslima ke har insan ka mission hona chahiye .ki Allah ke deen ko aage pahunchana logon ko jahannam ki aag se bachana unhe jannat main jane main madad karna.

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *