Vahi kya hai ?
1:52 AMVAHI
Allah Tallah ne duniya banaye insano ko banaya phir aese hi duniya main bhatakne ke liye chodh nahi diya shuru se paigambaro ko bheja messengers prophets jinhone Allah ke message ko hum tak pahunchaya ki Allah Tallah ne hamain kyon banaya hai hamari zindagi ka purpose kya hai hamain mar kar kahan jana hai .ye paigham message Allah Tallah ne vahi ke zariye quran ki shakal main hum tak pahunchaya .
Jab bhi koi naya electronic market main launch hota hai to uske saath ak book hoti hai jisme likha hota hai use kaise chalana agar hum vo book na padhe aur apni marzi se use chalaye yani agar 220 v ki jagah use 110 v par chalaye ya vice versa to kya hoga .
Isi tarah Allah Tallah ne hamare liye quran utara jo hamari kitaab hai iska topic insan hai isme bataya gaya hai ki insan ko kaise chalna hai kya boundaries hai kin laws ko use follow karna hai aur Allah Tallah usse kya expect karte hain.
Ye pora quran 23 years main aap sallallahu alaihi wassallam par vahi ke zariye utra.
Vahi kya hai?
Jibrael alesalam jo farishtoon ke sardaar the ye aap sallallahu alaihi wassallam ke paas vahi late the vahi message tha allah tallah ka jab vahi aati to aap par ak ajeeb si neend ki kafiyat hoti aap ke aas paas ke logon ko buzzing sound mehsoos hoti ya ghanti ki avaz jo aap ke paas betha hota vo samjh jata ki quran nazil ho raha hai aap sallallahu alaihi wassallam par bahot boojh padta agar aap kisi oontni par hote to vo vazan se beeth jati . Ak baar aap sallallahu alaihi wassallam kisi sahabi ke saath bethe the aapka ghutna unke ghutne par rakha tha vahi shuru hui to un sahabi ko itna boojh mehsoos hua ki unhe laga ki unka peer toot jayega .
Sakht sardi main jab aap SAW par vahi aati to aap SAW paseene paseene ho jate.
Jab vahi khtam hoti to aap ko vo sab kuch yaad hota tha jo Allah Tallah ne aapko message bheja hota tha aap sahaba ko bulva kar unhe likhva dete the isi tarah 23 years main quran pora hua baad main ise book ki shakal main copy kiya gaya.
Ye ak live kitaab hai jaise hi hum quran kholte hai Allah Tallah ko pata chal jata hai .aur hamara communication Allah se shuru ho jata hai iski kisi bhi ayah ko padhkar koi ye nahi kah sakta ki ye 1400 years purani kitaab hai hum jab quran padhna shuru karte hain to jo bhi hamari zindagi main chal raha hota hai vohi ayate aani shuru ho jati hai jo bhi hamari problem hoti hai uska solution mil jata hai agar yaqeen na ho to karke dekh le .ye book of guidance hai jo insan ko Allah ke zariye guide karti hai lekin hum ise samjh kar nahi padhte isliye hum iski azmat ko mehsoos nahi kar pate aur us guidance se mehroom ho jate hain.

0 Comments