Alhamdullilah

1:57 AM

Alhumdulillah

Al-the
Hamd- tareef
Li -liye
Allah-allah

Alhumdulillah tamaam tareef aur shukr Allah hi ke liye. iska matlab tareef aur shukr dono hai.ye quran ka pehla word hai  aur bahot si surate is word se shuru hoti hain.Allah Tallah chahte hai ki hum har haal main chahe gham ho khushi ho Allah Tallah ka shukar ada kare aur Alhamdullilah kahen.
agar gham aaye to sooche ki hamari hi galti ki saza hai jo mil rahi hai   .gham ya musibat ki nisbat kabhi Allah se nahi ki jati. Ye hamara test hai Allah Tallah dekhna chahte hain ki gham main hum Allah ke qareeb hote hain ya door.  Jaise kisi game main levels hote hain aur ak ke baad ak levels cross karne hote hain isi tarah jaise jaise imaan badhta jata hai to Allah Tallah ke test bhi badhte jate hain.ye duniya hai yahan sabko different question paper milta hai uske imaan ke hisaab se.ya to hum us test main fail hote hain aur ak level neeche gir jate hain ya usme paas hokar next level ke liye eligible ho jate hain . kabhi kabhi hamare gunaho ki vajah se bhi Allah Tallah gazabnaak hote hain aese main agar problem solve na ho rahi ho to sadqa dene ka hukum hai ki khoob khoob sadqa kareen  istaghfaar kareen.aur har gham main Allah swt ne Aap SAW ko khoob khoob tasbeeh karne ko kaha.

agar koi khushi mile to sooche ki ye bhi test hai allah tallah dekhna chahte hain ki hum Allah ka kitna shukar ada karte hain kyon ki shaitaan ne Allah Tallah se vada kiya tha ki aap is insan ki majority ko na shukra payenge.


naymat yani blessing hamesha Allah ki taraf se aati hai jab koi success mile to kabhi ye na sooche ki hum itne padhe likhe hain itne intelligent hai hamare paas har cheez hai hum to ye deserve karte hai jaise hi insan ye soochta hai vo Allah Tallah ki nigaho main pata nahi kitna gir jata hai kyonki Allah Tallah ko takabbur yani proud bilkul bhi pasand nahi kyonki  jo kuch bhi insan ke paas hai  aur jo success use mili hai vo bhi test hai ki banda kahin Allah ka shukriya ada karne ki bajaye kahin pora credit  khud to nahi le raha . har cheez Allah ki hi di hui hai.aur har blessing usi ki hi taraf se hai insan ki itni taqat nahi ki vo kuch kar sake.

Hamain pata kaise chalega ki hum proud karte hain ya nahi ..........jab bhi aap khud ko dosre se behtar mehsoos kare chahe surat main paise main ya ilm main yani education main to samjh leen ki aap bhi proud ka shikarr hain.
Allah tallah ko humble jhuke hue log pasand hain jo dosro ke samne Allah Tallah ke liye jhuk jaye agar galti ho ya na bhi ho to maufi mangne ko tayyar hoon jo dosro ko mauf karne vale hoon jo kisi  ki baat ko dil main   na rakhte hoon.

Jo jab zameen par chalain to akad kar na chalte ho peer patak kar na chalte ho.

Jisko dekhe use salam karte ho kisi ka gham dekhkar tadapne vale hoon har vaqt dosroon ki madad karne ko  tayyar rahte ho  logon ko dikhane ke liye nahi sirf allah ke liye.........

Jab bhi is tarah ki baat sune to khud ko dekhe ki hum aese hain ki allah tallah hamain pasand karenge.har haal main Alhamdullilah kahe aur Allah ka shukar ada kare.

Life main jab test  aata hai to vo hamari taqdeer main pehle se likha hota hai .bas Allah Tallah dekhna chahte hain ki hum kya karte hain . Allah ko chodhkar madad ke liye kisi aur ko pukarna shuru karte hain .ya Allah par bharosa karte hain aur Alhamdullilah kahte hain.

yahan saudi main jab kisi ki maut hoti hai to baqi log uske ghar valoon se Alhamdullilah kahalvate hain .ki kahin kisi se anjane main Allah ki na shukri na hui ho.ki kahin Allah Tallah naraz na ho jayeen.

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *