Hazrat Zikarya aur Yahya A.S ka Qissa Mubarak
5:19 PM
Hazrat Zikarya A.S barhai (Carpenter) thay. wo bhi Idress and Dawood A.S ki trah apnay hath ki mehnat se khatay thay.
Un k haan aulad na thi. un ki bewi baanjh thi. Aur wo khud bhi bht burhay ho chukay thay. Magar phir bhe unho ne apnay Rab se dua ki.
"Ae mere Parwardigar! meri hadyan burhapay ki wajha se kamzor ho gae hain aur sir shola marnay laga hai (means puray baal white ho gae). Ae mere Rab, main Tujh se maang kar kabhi bhi mehroom nahi raha aur main apnay bhai bandoun se darta houn aur meri bewi baanjh hai. Tu mujhay apnay paas se waris ata'a farma. Jo meri aur aulad-e-Yaqoob ki meeras ka malik ho..."
Farman hua:
"Hum tum ko aik larkay ki basharat daitay hain. Jis ka naam Yahya hai.
Is se pehlay Hum ne is naam ka koi shakhs paida nahi kia.."
Zikarya A.S ne farmaya:
"Parwardigar, mere haan kis trah larka paida hoga? jis haal me meri bewi
baanjh hai aur main intahai burhapay ko phunch gya houn..."
Hukm hua:
"k isi trah (hoga). Tumharay Parwardigar ne farmaya hai k Mujhay ye
asaan hai aur Main pehlay tum ko bhi tau paida kar chuka houn aur tum
kuch cheez na thay..."
Zikarya ne farmaya:
" Parwardigar, Mere lye koi nishani muqarrar farmaye.."
Farmaya gya:
"Nishani ye hai k tum sahi salim ho kar 3 raat (din) logoun se baat na kar
sako gay.."
Aur Farmaya gya:
"Phir Hum ne uski dua qabool ki aur usko Yahya ata'a kia aur us k lye
us ki zauja /wife ko bhi durast kiya. Beshak wo kheerat /donation me
sabqat karnay walay thay aur Hum ko raghbat o khauf, har trah se
pukartay thay aur hamari bargah me khushu-o-khuzu karnay walay
thay..."
Aur bewi ko durst karny ka matlab hai k unko internal complications thi (monthly) wo thek hogya. aur kaha gya hai k un ki zaban me kuch kharabi thi, wo dour kardi gae... Subhan'Allah
0 Comments