Hazrat Yahya A.S k dil me Allah ka khauf

5:24 PM

Hazrat Yahya Allah se bht darnay walay thay. Zikr kiya gya hai k aap bht hi kasrat se rotay thay. Hatta k aap k rukhsar'oun (cheeks) per aansu'oun ki wajha se garhay par gae thay. Riawayat hai k Hazrat Yahya k parents un ki talab o talash me niklay tau daikha k wo "Behra-e-Urdan"k paas hain. Jab dono un k qareeb hue tau aap ne dono (maa n bap) ko ibadat k inhamak/ concentration aur khauf-e-Khuda se khoob rulaya. Harzt Yahya ka khana sabz ghaas/ grass hota tha aur aap Allah k khauf se itna rotay k agar aap ki ankhoun per 'tar coal' hota tau wo aap ko jala dalta. Hazrat Zikarya ne apnay betay ko 3 din tak gum paya tau aap ki talash me jungle ko niklay. Daikha k wo aik qabar khoday us me kharay ho kar apnay aap per zar-o-qataar ro rahy hain.. Tau Zikarya ne farmaya, Ae Betay main 3 din se teri talash me houn aur tu qabar khoday is me khara ro raha hai?? Yahya ne arz kia: Ae Abba jan, kia aap ne hi mujhay khabar na di k jannat-o-jahnnum k darmiyan aesa jungle hai jis ko aansu'oun k baghair qata'a nahi kia ja sakta. Tau Zikarya ne farmaya: Acha betay ro'o... Tau phir dono be-tahasha roye... Ap

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *