Hazrat Yahya A.S ki paidaish/ birth
5:18 PM
Tau jab Zikarya A.S ko khush-khabri mili tau aap ki zaban band hogae (nishani k taur pe). Phir aap apni mehraab se khushi k sath niklay aur logoun ko ye khush-khabri isharoun me samjhai k ab subah o sham Us zaat pak ki tasbeeh karna aur mujh se kalaam karny ki beja koshish na karna. Aur khud subah o sham Allah ki tasbeeh me masroof rehnay lagay.
Riwayat hai k , Umme Yahya (Zikarya ki bewi) aur Hazrat Maryam (Umme Esa) dono sisters theen. Is trah Yahya and Esa A.S dono khala-zad bhai thay.
Aik riwayat ye bhi hai Zikarya A.S Hazrat Maryam k ‘Khalo’ thay. Wallah’alam
Hazrat Maryam aik baar apni behan k paas gaen tau behan ne kaha:
“kia main apko haamla/ pregnant lagti houn?”
Maryam ne kaha:
“Han , aur main ye bhi janti houn k main bhi haamla houn…”
Tau phir behan (Umme Yaahya) ne Maryam ko galay laga lya aur kaha:
“ Main daikhti houn k jo bacha mere pait me hai wo aap k pait walay bachay ko sajdah karega (means us ki ta’azeem baja layega aur tumhara bacha Afzal o ashraf hoga)”
Aur yhi matlab hai us ayat ka k wo (Allah k kalmay ki tasdeeq karny walay houngay) means, Hazrat Esa ki Hazrat Yahya Tasdeeq farmaingay.
Allah k fazal se Yahya dunya me tashreef lay aye.
Aulad-e-Adam me koi aisa nahi jis se khata/mistake na hue ho ya (atleast) us ne khata ka irada na kia ho, siwae Hazrat Yahya A.S k.
Bachpan me, Hazrat Yahya ko bachoun ny kaha, aao chal kar khail koud karain. , tau Yahya ne farmaya, hum khail koud k lye nahi paida kye gae.
Allah ne Yahya ko pakeezah khalqat wala aur aeb’oun aur mistakes se paak saaf paida kiya. Aur Allah k taqwa se nawaza.
Aur wo parents k sath naiki karny walay thay aur sakht aur na-farman na thay
0 Comments