Hazrat Yahya ki sadgi aur 5 hukum
5:26 PM
Hazrat Esa bi Maryam aur Yahya bin Zikarya dono khala-zaad bhai thay.
Hazrat Esa wool ka libas pehantay thay, jab k Yahya janwaroun k baloun ka libas pehantay thay.
Aur dono k paas deenar darham na tha. na koi ghulam na baandi, na koi thikana jahan kahin thehar jatay.
Jahan kahin raat aati, waheen thehar jatay.
Jab juda honay lagay tau Yahya A.S ne Esa se kaha, k mujhay kuch nasihat karty jayen.
Esa A.S ne farmaya: Ghussa mat karna...
Yahya ne farmaya k main taqat nahi rakhta k ghussa na karoun..
Tau Esa ne kaha: Maal k dhokay me na parna, Yahya ne farmaya, ye ho sakta hai..
Hazrat Muhammad SaWW ne farmaya k Allah ne Yahya ko 5 batoun ka hukm farmaya k un per puri trah amal karo aur Bani Isra'ael ko bhe amal karnay ka hukm do.
Yahya A.S ne Bani Isra'ael ko jama kia aur Bait-ul-Muqaddas me sab ko bulaya.
Phir jab masjid logoun se bhar gae tau sab ko in 5 batoun ka hukm dya:
1- Allah k sath ksi ko shareek na karna, sirf Us tanha ki ibadat karna.
2- Namaz parho, aur namaz me ksi aur traf dhayan mat lagao.
3- Rozay ka hukm dya. Beshak rozay-daar k moun ki smell Allah k nazdeek mushk se zyada pasandeedah hai.
4- Sadqa dya karo.
5- Allah Ta'ala k zikr ki kasrat ka hukm farmaya.
Yahya A.S logoun se aksar juda rehtay thay aur jungle o bayabaan se uns-o-muhabbat rakhtay thay. aur darkhtoun k patay khaa laitay aur phir nehar per ja kar pani nosh kar laitay.
kabhi kabhar tiddi ki ghiza use kartay thay
0 Comments