Burhya ki eye-sight wapis ana aur Uzair ko pehchanna:

5:30 PM

Jab Uzair A.S ne khud apnay aap ko aur apnay gadhay ko zinda daikha tau bol uthay k: “Main yaqeen karta houn k Khuda her cheez per qadir hai.” Phir gadhay per sawar hokar apnay muhallay me wapis tashreef laye. Logoun ne aap ko na pehchana aur aap bhi apna ghar bhool chukay thay. Phir khayal karty karty chalay aur apnay ghar phunch gae. Wahan aik andhi/ blind aur apahaj burhya bethi thi, jis ki age 120 years thi. Aap jab ghar se niklay thay tau us waqt ye burhya 20 saal ki thi. Us waqt ye Uzair ko khoob janti thi. Khair, Uzair ne pucha k kia ye Uzair ka ghar hai? Tau burhya ne kaha k, Ji haan. Phir ro pari aur boli k itnay saloun me kisi k moun se Uzair ka zikr nahi suna, ab tau log un ko bhool chukay hain. Hazrat Uzair ne farmaya: “Main hi Uzair houn. Allah ne mujhay 100 saal tak maut ki nend sulaye rakha, phir mujhay ab uthaya hai.” Burhya ne kaha: Subhan’Allah, beshak Uzair tau hum se 100 saal se gum ho chukay hain aur ksi se un k mutaliq hum ne kuch nahi suna (Aap kaisay Uzair ho saktay hain?) Farmaya: Main hi Uzair houn. Tau Burhya boli k Uzair ki her dua qabool hoti thi, wo jis mareez k lye dua karty thay, wo thek hojata. Agar aap dua karain k Allah mujhay basarat (eye-sight) lauta de tau main aap ko daikh kar bataoungi k aap Uzair hain k nahi. Tau Uzair ne dua ki aur apna hath us ki aankhoun pe phera tau wo sahi hogae (aur wo langri looli bhi thi) aap ne burhya ka hath pakra aur farmaya k Allah k hum se khari ho ja tau Allah ne us ki legs sahi farma di, goya wo ksi rassi se khul kar azad hogae ho. Phir burhya ne aap ko daikha aur foran pukar uthi, “Main gawahi daiti houn k aap hi Uzair hain…”

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *