Hazrat Yahya ka qatal/ murder
8:19 PM
Is qissay k lye 2 riwayaat famous hain:
1- pehli riwayat k mutabiq Damishq k badshah ne apni kisi 'mehram' se shadi ka irada kia, ya aesi aurat se, jis se shadi karna us k lye halal nahi tha. Tau Hazrat Yahya ne us ko mana kiya. Tau ye baat aur rukawat aurat k dil me khatakti rahi aur wo Yahya ki dushman hogae.
2- Dosri riwayat hai k Badshah ki bewi ko Hazrat Yahya se muhabbat hogae. Hazrat Yahya apnay zamanay me sab se behtar thay. sab se haseen aur khoobsurat roshan chehray walay thay. aur aurtoun ki unko biklul khuwahish na thi.
Badshah ki aurat badkar thi. Magar Allah ne Hazrat Yahya ki hifazat rakhi aur wo baaz rahay aur aurat ko biklul inkar kardya, tau us aurat ne Yahya k khilaaf dil me kena paal liya.
Magar dono riwayaat ka result aik hi hai.
Aurat ne Badshah se Yahya ka 'Sir mubarak' aur khoon maanga. Badshah ne kaha k kuch aur sawal karo. Aurat ne kaha nahi, bus yhi chahye. Tau phir badshah ne kaha, chal wo teray lye hua.
Phir apnay jallad ko Yahya k paas bheja. Aap mehraab me namaz ada kar rahy thay. aur Zikarya A.S bhi un k peechay namaz parh rahay thay.
Tau khabees jallad ne aik 'Tasht' / taslay me un ko zibah kiar dya. (means khoon sara tasht me gira)
Zikarya A.S ne apni namaz nahi chorri aur barabar parhtay rahay, jab k Yahya aap k mehboob betay thay.
Qatil ne 'Sir mubarak' laa kar aurat k samnay rakh dya, jis se ab tak khoon beh raha tha.aur Yahya A.S ka 'Sir' tab bhi yhi bol raha tha k teray lye nikah karna durast nahi hai.
0 Comments