Qaum-e-loot per Allah ka azab

8:09 PM

Hazrat Loot A.S ne apnay ghar k darwazay ko band kar rakha tha (aur mehmaan means Farishtay andar betha rakhay thay), aur khud darwazay per kharay ho kar qaum ko hata rahay thay. aur wo log dhakkay per dhakkay maar rahay thay. Aap unko sath sath nasihat farmatay aur mana kartay aur roktay, laiken bad-kirdaar aur behodah logoun ko kuch sharam o lihaz na aya. .. Tau Hazrat Loot A.S ne us waqt bari be'chargi k sath ye kaha k "kash k mere lye tumharay muqablay me koi taqat hoti ya main kisi mazboot qilay (castle) ka sahara pakarta(Hood 80), tau tum se achi trah apnay mehmanoun ki hifazat kar laita, aur tum ko samjha daita. Tau phir Farishtoun ne haqeqat se pardah uthaya aur kaha: "Ae Loot, hum terey Parwardigaar k bhejay hue farishtay hain, .. ye hargiz tujh tak na phunch sakaingay.." (Hood 81) Phir Jibra'ael A.S un per (qaum per) nikal paray, aur apnay "Parr" (wing) k sath un k chehroun (faces) per aik waar kia tau wo log andhay hogae,. hatta k kaha gya hai k un k faces se ankhoun ka naam o nishan bilkul hi mitt gya. Phir wo log cheekhtay chillatay, deewaroun ko tatol'tay tatol'tay wapis doray bhagay.. Laiken hat-dharmi ki inteha k phir bhi jatay hue Allah k paighamber Loot A.S ko dhamkiyan daitay ja rahay hain k kal anay do, phir daikh laingay... Isi ko Allah Ta'ala ne farmaya: " Aur unho ny Loot ko us k mehmanoun k baray me behkaya tau Hum ne unki ankhain (eyes) ko mita dya, aur subah hotay hi un ko Da'aimi (constant) azab ne ghair lya..." (Al-Qamar 37, 38) Farishtoun ne Loot A.S ko basti chorr kar janay k lye kaha k ratoun raat apnay ahl o ayaal ko laiker nikal jaen aur peechay murr kar koi na daikhay. Means jab azab ki awaz aye tau koi uski taraf mutawajjah (attentive) na ho...Aur Loot ki bewi sath nahi jaegi, us ko bhi wohi azab phunchay ga, jo dosroun ko phuncha. Tau Hazrat Loot A.S apnay Ahl, jo sirf 2 beti'youn pe mushtamil tha, laiker nikal gae.

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *