Allah ki Shaan : (Birds ka qis'sah)
8:19 PM
Ibrahim A.S ny apny Parwardigaar se farmaya k Ae Allah aap mujhay dikhaen k Aap murdoun (Deads) ko kaisy zinda farma'aingay??
Allah ny farmaya: Kia tu (is baat per) yaqeen nahi rakhta??
Arz kia: kioun nahi, laiken (main daikhna chahta houn) ta k mera dil itmenan e kamil hasil karay.
(khuda ny) Farmaya, 4 birds apnay pass lay lo. (phir un k tukray tukray karo)phir un ka aik aik tukra her aik pahar per rakh do. Phir un ko bula'ao tau wo tumharay pass doray chalay ayengay. aur jaan rakho, Khuda ghalib aur Sahib e hikmat hai.
Phir Ibrahim ny aisa hi kia.
Ibrahim k bulanay per her parinday ka aazo (organ) us parinday k sath aker mil gya.
Hatta k her par' apnay dosray par' k sath mill kar apnay parinday k sath jur gya. (joined).
Al-gharz sab parindoun (birds) ka jism bikul pehli halat per agya. aur Ibrahim is duraan Khuda ki qudrat ka mushahida ( observation) farmatay rahay. Jis qudrat ka matlab hai k Allah jis cheez ko "Kun" means "Ho ja" farma daitay hain, wo foran ho jati hai.
Aur ghor ka muqam hai k wo parinday /birds sab k sab dortay hue (running) Hazrat Ibrahim k traf aye (urr urr kar nahi aye) ta k wo Un ki halat ko ache trah mulaheza o mushahida karlain. (observe clearly and keenly).
Aur haan, Hazrat Ibrahim ko hukam mila tha k sirf birds k "sir"/heads apnay pass hath me mehfoz rakhain, jis se har parinday ka jism baghair sir (head) k Ibrahim k pass phuncha. Phir Ibrahim AS her parinday ka sir us per daltay tau wo sir us k sath bilkul pehli trah mill jata...
Beshak Allah k siwa koi Ma'aboud nahi, jo e sab kuch karnay wala hai. aur beshak Ibrahim Allah ki qudrat ko murdoun ko zinda karnay per khub yaqeen rakhtay thay, jis me koi shak na tha.
laiken unho ny apni aankhoun se mushahida (observation) ko pasand farmaya. ta k "ILmul Yaqeen" se "Ainul Yaqeen" ki traf tarakki karain.
Lehaza Allah ne apnay dost ki wish ko pura farma dya. Subha'Allah.
0 Comments