Qaum-e-Loot per tabahi aur barbadi

8:05 PM

Phir jab suraj tullu hua (Sun rise) , tau Qaum e Loot ko azab ne pakar lya. Allah Ta'ala ka farmaan hai : " Phir jab Hamara hukam agya tau Hum ne basti ko teh-o-bala (ruin) kardya.. aur un per 'kankar" k pe-dar-pe pathar barsa'ae, jo teray Rab ki traf se "nishan-zadah" thay. aur wo (basti) zalim'oun se zyada dour nahi.." (Hood 82, 83) Hazrat Loot A.S ki basti 7 cities pe mushtamil (consist) thi. aik qaul k mutabiq 400 insan thay, ya 4000 thay, aur sath me haiwanat (animals) wagera bhi thay. Tau Jibra'ael A.S ne un tamam cheezoun samet, zameen ko us k aaspass k samet, apnay Parr k aik konay k sath ukherra aur ouper kia (scratched and up). hatta k Aasman k bilkul kareeb phuncha dya. yahan tak k Ahl-e Aasman ny un basti waloun k murghoun (cocks) ki awazain, aur kuttoun ka bhonkna (dogs bark) tak suna. Tau Jibra'ael ne wahan tak lay ja kar basti ko bilkul ulat dya tau is trah us k bala'ai/top hissay ko neechay kar dya. (up side down) Sab se pehlay neechay un k sardar aur baray shurfa'a giray, aur phir pathroun ki barish hue. aur pathar kankar k thay means sakht aur mazboot (jaisay bajri ka pathar hota hai). Her pathar per us shaks ka naam likha hua tha k jis per wo lagay ga. aur uska dimagh nikal daiga. Aur us basti ko pathroun se dhak dya gya. her pathar per us k sathi ka naam bhi likha hua tha (means gay partner),,, jo Hazir'een thay (present) un ko bhi lagay, aur jo basti se dour thay, safar pe thay, waheen un ko azab ne ghair lya.. (Astaghfirullah) Allah Ta'ala ne us jagah ko aik intaha'e badbu-dar (stinky) samandar bana dya hai, jis k pani aur aaspass ki zameen se koi nafa'a (gain) nahi uthaya ja skta. k wo bilkul kharab aur ounchi neechi hai, bekaar hai. ye basti ibrat o nasihat bana di gae hai ta k log "maharam e Allah" se bachain aur Qaum e Loot k mushahbiha (resemblance) honay se dar'ain (scare). Beshak, jis ne bhi jis qaum ki shakal ikhtiyaar ki, wo un hi me se hoga.. agar "kulli" taur pe na ho (fully/completely), tau "Juzvi" taur per hi sahi (partially), magar hoga zarur. jaisay ksi ne kaha hai k: Translation: "agar tum dar-haqeqat qaum Loot nahi ho, laiken phir bhi qaum e Loot tum se dour tau nahi hai, yani un ki resemblance ho sakti hai..." Pus, Aa'qil aur samjhdar, apnay Rab se darnay wala woh hai jo apnay Rab k hukam ko manay aur Rasool ki ta'alimaat per amal karay, aur darta rahay k kahin us per bhi azab na aan paray.. Astaghfirullah... "Aur ye (Saza) zalim'oun se (ab bhi) dour nahi..." (Surah e Hood)

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *