Khana e Ka'aba ki Ta'ameer ka hukam
8:25 PM
Kuch arsay baad Ibrahim A.S phir mulakat k lye tashreef lay gae (aur is baar Hazrat Isma'ail ko mojoud paya), wo Zamzam k kareeb teelay per bethay teer cheel rahy thay.
Isma'ail A.S ne apnay walid ko daikha tau foran uth kharay hue, dono bht garam-joshi se milay aur ek dosray k sath izzat o akram ka mamla kia. Phir Ibrahim A.S ny apnay betay ko farmaya:
"Ae Isma'ail, Allah ny mujhay aik hukam dya hai aur us ko pura karny me teri madad ki zarurat hai..."
Tau Isma'ail A.S ny farmaya k bilkul main hazir houn.
Tau phir Ibrahim A.S ny ird gird ki aik ubhri hue (Raised) jagah ki traf ishara krty hue farmaya k ,
" Allah ny mujhay yahan aik Ghar bananay ka hukam farmaya hai.."
Aik qaul k mutabiq jab Allah Rabbul Izat ne Ibrahim A.S ko apnay ghar ko bananay ka kukam farmaya tau unko pata na chala k us ki jagah konsi hai?
Hatta k Allah ny hawa bheji, jisko "Khajoj" kaha jata hai. Us k 2 parr thay aur sir tha, aur wo sanp (snake) ki shakal me thi. Us ny Ka'aba k ird gird ki jagah ko saaf kar dya, aur pehli bunyadain (base) zahir kar deen.
Pehlay zikr ho chuka hai k Hazrat Adam A.S ne is jagah per aik "Quba" sa banaya tha aur farishtoun (angels) ny unko kaha tha k hum aap se pehlay is ghar ka tawaf kar chukay hain, aur Nooh ki kashti ne bhi almost 40 din is k gird tawaf kia tha.
Allah Ta'ala ny Hazrat Ibrahim ko wahi farmai thi k Ka'aba Tu'Allah, Bait Mamur k ain muqabil aur samnay hai. (Bait Mamur aasmanoun me farishtoun k lye Baitu'Allah aur Khana e Ka'aba hai, jis k gird her aan (time) 70,000 angels tawaf kartay hain, aur phir ksi farishtay ki dobara qayamat tak tawaf ki bari nahi ayegi. Tau Bait Mamur k muqabil zameen pe Khan e Ka'aba hai, is trah k) agar Bait Mamur giray (fall) tu bilkul thek Bait Ullah per giray ga...
Aur isi trah satoun aasmanoun (7 skies) me isi line k andar Ibadat khanay means mosques hain, jaisa k buzurgoun ne farmaya k her aasman me aik ghar hai. Jis me aasman walay ibadat kartay hain aur Bait Mamur Aasman me aisay hai, jaisay zameen per Kha'na e Ka'aba... Subha'Allah..
0 Comments