Hazrat Ishaq A.S. ki birth ki khush-khabri
8:22 PM
Malaika (Angels) ne Hazrat Ibrahim aur Sara A.S ko Hazrat Ishaq ki paidaish ki khushkhabri us wakt di, jab wo Angels Hazrat Loot A.S ki qaum ko un k kufar aur be-haya'ai ki wajha se tehas nehas karnay un k ilaqay "Mada'ain" ki traf ja rahy thay.
Ye farishtay 3 thay, Jibra'ael, Mika'ael, aur Israfeel
Ye teeno farishtay guests ki surat me Ibrahim aur Sarah A.S k ghar tashreef laye. Lehaza unho ny bhi mehmanoun wala barta'ao aur khatir tawaza'a shru kardi. aur aik behtareen umdah "Bachra" un k lye zibah kia aur us ko bhoona. laiken farishtoun ny khanay ki traf tawajjah na di, kioun k farishtay insani hajat'toun (needs) se farigh hain.
Tau Ibrahim A.S ko un se khauf feel hua (k kahin ye dushman tau nahi, coz us zamanay me dushman aik dosray ka khana nahi khatay thay).
Farishtoun ne Ibrahim ki condition ko bhanptay hue (feel karty hue) kaha :
"Ae Ibrahim, khauf na kijiye, Hum tau (farishtay hain aur) Qaum e loot ki traf bhejay gae hain, .. ta k un per azab barsa'ain.." (Sura e Hood, 70)
Azab ki baat sunn kar Sara A.S bht darr gaen, .. Tab farishtoun ny un ko khushkhabri suna'ai, Hazrat Ishaq AS ki aur un k betay Hazrat Yaqoub AS ki.
Ye khushkhabri sunn kar Sarah AS ko bht ta'ajub hua aur kaha,
"Haye afsoos, kya main (aulad ko ab) janam doun gi, jab k main burhi ho chuki houn aur ba'anjh bhi houn, aur mere shohar bhi burhay hogae hain. Tau mujhay aulad kaisay hogi...??"
Farishtoun ny kaha: Kia tu Allah k hukam se ta'ajub karti hai??
Beshak Allah tareef k la'aiq aur buzurg hai (Us k lye koi mushkil nahi)...
(Surah e Hood)
0 Comments