Hazrat Sarah A.S ki Qasam aur Hajira A.S ki Hijrat

8:28 PM

Hazrat Sarah A.S logoun ki batoun ki wajha se jab ghairat o ghussay me ayen (k baandi un se zyada rutbay wali hogae) tu qasam utha'ai k wo Hajira A.S k 3 Aazo (organs) zarur katain gi (Cut).. Tau Hazrat Ibrahim A.S ne unko qasam se 'subak-doshi' (kuffaray) ka tareeka batlaya k Hajira k dono kanoun (ears) me soorakh kardo (piercing), tau is trah tum qasam se bari hojaoge. Tau is trah Hajira A.S dunya ki first lady hain jin k ears me soorakh kia gya (means piercing) aur phir ye aurtoun k lye husn o zeenat ban gae. aur isi trah Hajira first lady hain jinho ny apni qameez ka daman sab se zyada lamba kia ta k chalnay me qadam k nishanaat mit'tay jaen, aur Sarah A.S ko unki mojoudgi (presence) ka pata na chalay. Sarah A.S ny Ibrahim A.S ko kaha k Hajira ko mujh se kahin dour lai jao, tau Ibrahim Hajira A.S aur un k laal Hazrat Isma'ail ko lay gae, aur chaltay gae, hatta k unko us jagah utaar dya, jahan aaj Makkah city abad hai. Wahan aik darkht (tree) tha aur wahan us wakt us Makkah k area me un k elawa aur koi insan na tha (na Bait Ullah ki imarat thi, na koi abadi ki cheez, bulkay desert tha) hatta k pani bhi na tha. Hazrat Ibrahim ny unko wahan bitha dya aur pass khajoor (dates) ka aik thaila aur pani ka aik mashkeezah rakh dya , aur us k baad Ibrahim (baghair kuch guftugu kye) wapis honay lagay. Tau Umme Isma'ail un k peechay hogaen aur puchnay lagaeen: " Ae Ibrahim, aap kahan ja rahay hain? aur humay is sehra (desert) o veeranay me chor k ja rahy hain, jahan koi insan hai aur na koi zindage ko baki rakhny wali cheez.." Hazrat Hajira ne baar baar faryad ki, laiken Ibrahim A.S (hukam e Allah ki wajha se) tawajjah nahi farma rahy thay, tau phir akhir Hajira A.S ne daryaft kia (asked) : "kia Allah ny aap ko iska hukam farmaya hai..?? " Ibrahim A.S ny farmaya: "ji Haan" Tau phir Hazrat Hajira ny kaha, "Phir humay Wo (Allah) zaya na farmaye ga.." aur ye keh kar wo wapis apni jagah agaen.

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *