Hazoor Akram SAWW ki fazilat aur Musa A.S ka muqam
6:12 PM
Aur is me koi shak nahi k Hazrat Muhammad SAWW azal bashar hain bulkay afzal Ikhlaaq hain.
Aap SAWW ne farmaya, "Main qayamat k din aulad-e-Adam ka sardaar hounga aur koi fakhar nahi...
Main qayamat k roz sab se pehlay hosh me aounga aur daikhounga k Musa Arsh ka Paya (pillar) pakray houngay. Tau mujhay pata na chaly ga k Musa mujh se pehlay hosh me aye ya Toor ki be-hoshi k badlay sahi hi rahay.."
Allah Ta'ala ka farmaan hai k, Ae Musa Main ne aap ko logoun per apni Rasalat aur Apnay sath hum-kalami ki wajah se chunn lya hai...
Iska matlab hai k Musa k zamanay me mojoud tamam insanoun me se Musa ko sab per fazilat di gae, na k pehlay aur baad k logoun k aitabar se.
Kioun k un se pehlay Hazrat Ibrahim A.S un se afzal thay. Jaisay k Ibrahim A.S k qissay me pehlay biyan kar chukay hain.
Aur isi trah Musa A.S k baad Hazoor Pak SAWW tau sab se hi afzal o bartar thay. Jaisay k Aap SAWW ka sharf "Meraj" ki raat tamam Anbiyah o Rusal per zahir hua..
0 Comments