Hazrat Muhammad SAWW k Ummati ki fazilat
8:16 PM
Allah Ta’ala aur Musa A.S k darmiyan Hazoor e Pak SAWW ki shan me guftugu ki gae. Riwayat hai k:
1- Hazrat Musa ne arz kia, Ae Parwardigar main “Tauret” ki takhti’oun (Tablets) me paata houn k aik aisi ummat ayegi jo behtareen ummat hogi, logoun ko faida phunchanay k lye nikal gae hogi, ..Pus Ar Parwardigar, us ummat ko meri ummat bana dijye. Allah Ta’ala ne farmaya:
“Wo tau Ahmad ki ummat hai. SAWW”
2- Hazrat Musa ne phir arz kia Parwardigar, Tauret ki tablets me paata houn k aik aisi ummat hogi jo makhlooq me sab se akhir me ayegi laiken jannat me sab se pehlay jayegi, tau Ae Rab unko meri ummat bana dijye. Allah ne farmaya:
“Wo tau Ahmad ki ummat hai. SAWW”
3- Phir Musa ne arz kia,Parwardigarme Tauret ki tablets me aisi ummat paata houn jinki book (Qura’an) un k seenoun (chest) me mehfooz hogi aur usko wo (baghair daikhay) parhaingay (read).
Us ummat ko meri ummat bana dijye. Allah ne farmaya:
“Wo tau Ahmad ki ummat hai. SAWW”
(aur pehlay log apni apni kitab ko daikh kar hi parh sktay thay, hatta k jab kitab ko utha kar rakh daitay tau kuch bhi yaad na rehta)
4- Phir Musa ne arz kia, Parwardigar me Tauret me aisi ummat paata houn jo pehli book per emaan layengay aur akhiri book (means sab books per) emaan layengay. Aur wo gumrah logoun se jung karaingay. Hatta k akhir me ‘kanay kazab’ (Dajjal) se jung karaingay. Pus us ummat ko meri ummat bana dijye. Allah ne farmaya:
“Wo tau Ahmad ki ummat hai. SAWW”
5- Musa ne arz kia Parwardigar, main Tauret ki tablets me aik aisi ummat paata houn jo apnay sadqaat o zakat apnay gharoun me khaingay aur phir bhi us per ajar payengay. (aur pehlay log jo qurban karty aur wo qabool bhi ho jata tau aasman se aag aati, usko raakh kar jati aur agar qabool na hota tau aag usko na jalati, bulkay parinday aur janwar usko khaa jatay. Jab k is ummat k maal’dar log ghariboun ko sadqat daingay, tau pus Ae Parwardigar us ummat ko meri ummat bana dijye. Allah ne farmaya:
“Wo tau Ahmad ki ummat hai. SAWW”
6- Phir Musa ne arz kia Parwardigar, main Tauret me aisi ummat pata houn jo ksi naiki ka irada karaingay aur abhi amal bhi na karaingay k unko us k badlay 10 naikiyan milain gi jo 700 tak dugna ho skti hain. Tau Parwardigar us ummat ko meri ummat bana dijye. Allah ne farmaya:
“Wo tau Ahmad ki ummat hai. SAWW”
7- Phir Musa ne arz kia Parwardigar, main Tauret ki tablets me aisi ummat paata houn jo sifarish karaingay aur phir un ki sifarish qabool ki jayegi. Pus Aap usko meri ummat bana dijye. Allah ne farmaya:
“Wo tau Ahmad ki ummat hai. SAWW”
Agay zikar kiya gya hai k phir Musa ne Tauret ki Takhtiyaan/tablets ko phaink dya aur arz kia:
“Ae Allah, tau mujhay hi Ahmad SAWW ki ummat se bana dijye…” (Subhan’Allah)
0 Comments