Man-O-Salwa ka zikar

6:14 PM

Surah-e-Al An’am me Allah Ta’ala farmatay hain: “ Ae Bani Isra’ael Hum ne tum ko tumharay dushman se nijaat di aur “Toor” k da’aen janib (right side) Main ne tum se waadah lya aur tum per Man-O-Salwa nazil kiya. Khao pakeezah rizq jo tum ko Hum ne dya hai. Aur is me sarkashi na karo! Werna tum per Maira ghazab utar jaega. Aur jis per ghazab utra wo halaak hua. Aur Main maghfirat karnay wala houn us shakhs ki jo tobah ta’aib hua aur eman laya aur amal-e-saleh kye, phir hidaya-yaab hua..” In ayaat me Allah Ta’ala Apnay ehsanaat ka zikr kr rahy hain. Safar o khizar ki halat me, shiddat zarurat k moqay per jab kheti bari ka koi bandobast nahi hoskta tha, aisay waqt un per "Ma'6n-o-Salwa"ki naimat nazil farmai. Jab subah karty tau “Man”, jo danay hotay thay, apnay gharoun k darmiyan patay. Aur ye apni aik din ki hajat k lye utha laitay. Jo zyada uthata tau kharab ho jatay. Aur jo kamm ikatha karta (collect) tau wo usko kafi ho jatay, aur zyada hotay tau bachtay hi nahi, ya kharab ho jatay. Phir un se roti banatay, aur wo khoob safaid methi (white and sweet) hoti thi. Phir sham hoti tau parinday (Birds) jo “Salwa” kehlatay, un k aaspass ajatay, tau ye baghair kisi mushaqqat (without any problem) asani se un ko pakar laitay aur apni zarurat k hisab se use kartay. Aur jab garmi ka mausam hota tau un per badal ajatay, jo un ko garmi o tapish se bachatay. Jab Musa A.S ne apni qaum k lye (Khuda se) pani maanga tau Allah ne hukm dya k apni Lathi /stick pathar per maaro. Musa ne aisa kiya tau 12 chashmay phoot niklay, aur tamam logoun ne apna apna ghaat maloom kar (k pani pee) liya. Aur apnay janwaroun ko bhi sairaab karty aur kuch jama kar laitay

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *