New year in Islam (Naya Saal) Hindi ~ Urdu
1:16 PMNAYA SAAL
➖➖➖➖➖➖
Agar aap koi exam de rahe hoon aur vo 6 hours ka ho jisme aap sure bhi na ho ki pore 6 ghante aapko likhne diya jayega ya nahi .... kabhi bhi aapse paper le liya jayega........aur vo exam itna tough ho ki agar aap fail ho gaye .....to aapko aag main phaink diya jayega to aap kya karenge....exam period ka ak ak min use karenge koshish karenge ki jitna ho sake likh deen ak min bhi barbaad nahi karenge ki pata nahi kab paper humse cheen liya jaye.
....aur isi beech har ak ghante baad koi aapke paas aaye aur kahe ab 4 ghante bache hain chalo celebrate karte hain ya ab 1 ghanta bacha hum celebrate karte hain ...to aap usse kya kahenge. ..
Yehi hamari zindagi hai ..average age insan ki 60 years hai ....agar kisi ko itni zindagi milti hai to ab uske paas koi excuse nahi hoga Allah Ta'alah ke saamne.
..Allah Ta'alah kahenge tumne kitne achche kaam kiye jab ki tumhe pora vaqt diya gaya tha . .aur agar kisi ko 60 saal se zyada zindagi milti hai to vo Allah ki extra rahmat hai bande par ..use rahmat samjhkar ak ak din istaghfaar kareen kalma padhe ...kyonki aap SAW ko surah nasr main Allah ta'alah ki tasbeeh aur istaghfaar karne ko kaha gaya tha to sahaba samjh gaye the ki ab aap duniya se jane vale hain..
Surah Takasur main Allah ta'alah farmate hain ...halaq kar diya unko kasrat ne yani zyada se zyada hasil karne ki gaflat main ki unhone qabroon ko dekh liya yani unhe is gaflat main pata bhi nahi chala aur zindagi ki mohlat khtam ho gaye...
Har ak naya saal ak alarm hota hai...har aapka birthday alarm hota hai jo yaad dilata hai ki ak aur saal khtam ho gaya ...hosh main aa jao......har insan ki zindagi ka period pehle se likha hua ki ye 30 ya 35 ya 45 ..saal jeeyega..insan ke bas main nahi ki use change kar sake ya apni maut ko taal sake...qayamat ke din jab log khade honge to apas main poochenge ki tum duniya main kitni deer rahe to vo ak dosre se kahenge shyad ki kuch ghante ya din ka ak hissa..
Hum Qur'an samjhte nahi isliye zindagi ki seriousness ko lete hi nahi jaise lena chahiye. ..hamare liye to zindagi sirf achcha rahna khana parties karna enjoyment ke alava kuch nahi hai..lekin ye parties marne ke baad koi kaam nahi aayenge...jin friends aur rishtedaro ke saath aap enjoy karte hain vo akela aapko qabr main dafna kar aa jayenge. ..vahan sirf naik amaal saath honge agar kiye honge to....
Isliye zingadi ki haqiqat ko samjhne ki koshish karne ki zarurat hai ki ak saal zindagi ka aur kam ho gaya to mubarak baad kis baat ki ....jo mubarak baad de use samjhaye na samjhe to khamosh ho jaye. ..
Islam main to islamic year shuru hone par bhi koi celebration nahi...akhir celebration kis baat ka....har naye mahina shuru hone par aap SAW khair ki dua karte the ..bas vo dua karni chahiye. ....uske alava kuch bhi nahi.
Ye sab west main log karte hain ...unki life bahot busy hoti hai ..unke paas itna vaqt nahi hota ki apne bachcho ko maan baap ko de isliye unhone father's day ..mother's day. ..birthdays. ..anniversary ...new year ....jaise din rakhe hain ki isi bahane ak din ke liye kisi ko khush kar de ya khud enjoy kar le. ..vahan mostly family life ka koi concept nahi maan baap boodhe hote hain to unko oldage home pahuncha diya jata hai bas saal main ak din aese dino main mil kar aa jate hain aur samjhte hain responsibility pori ho gaye ..lekin islam ye nahi sikhata. ..islam main har din qeemti har insan qeemti hai.....har din ak dosre ka khyal rakhne ki zarurat hai...
Allah Ta'alah ne deen mukammal kar ke bheja hai aur non muslims ko copy karne se sakht mana kiya hai...isliye har ak innovation se bache ...ya kabhi bhi nahi bhoolna chahiye ki lotkar Allah Ta'alah ke paas jana hai hamesha yahan nahi rahna hai... ...asal ghar ya to hamesha ke liye jahannam hoga ya jannat ..choice hamari hai...khud ke liye jo pasand kare...
Vaqt.... Allah ki sabse badi naymat hai ...ak baar jo date guzar gaye kabhi bhi dobara nahi laye ja sakti...ak ak din zindagi ka guzarta ja raha hai..zindagi khtam jo rahi hai...har din sunne main aata hai kisi ko heart attack ho gaya kisi ko last stage main pata chala ki cancer hai...ye sab hamare liye alarms hote hain ki zindagi kisi ko mohlat nahi deti ....jab maut aati hai to vo ye nahi dekhti ki aapki umar kitni hai ..aapke kaam poore hue ya nahi .. akdam se aati hai aur le jati hai.
Agar Naya saal hai to aapni sooch badleen ...abhi tak jo ho chuka hai uske liye Allah se istaghfaar kareen naye sire se zingadi shuru kare jisme complete submission ho Allah ki itaat ho... Obedience ho....apni zaat ke liye selfish hoon apne bare main sooche ki kabr main bhi akele honge aur maidane hashr main bhi ...vahan koi apni ak naiki bhi nahi dega maan apne bachche tak ko nahi pehchanegi...vahan insan sirf afsoos karega ki kaash main apna vaqt barbaad na karta kaash...main zyada se zyada naikiyaan kar leta aur Allah ki nafarmaani se bachta.
Sab log naye saal ko badi ahmiyat dete hain aur is din ko badi dhoom dhaam se manaya jata hai .
Halaki ye naya aur pehla din bhi dusre dino se kuch alag nahi hota , aisa nahi hai ke Naye saal ke pehle din mein sirf khushi hi khushi hoti hai. Gham mein dubey log aaj bhi Ghamgeen hote hain , Naye saal main bhi logon ko maut aati hai , accident hota hai , problems pesh aati hain , phir is din ko khushi ke tor pe manane ka Sabab Kya hai ?
Is din duniya main ajeeb qism ka mahol paya jaata hai , is mahol ko hum islami nazar mein dekhte hain
naya saal aur happy new year :
1st January ki aamad se Kai din pehle se message , cards aur zabani tor pe happy new year ke kalmaat jaari ho jaate hain.
sahaba kiraam ke zamane main bhi naya hijri saal aata tha magar unhone kabhi bhi ek dusre ko Mubarakbaad nahi di jo is baat ki daleel hai ke Naye saal ki Mubarakbaad dena khilaf e sunnat hai .
Lihaza kisi musalmaan ke liye sahi nahi ke woh kisi
Ko happy new year ka card bheje ya message likhkar happy new year ki Mubarakbaad de ya zabaan se kisi ko happy new year kahe .
1st January ko log gaon / sheher se nikal kar sehra aur jungle mein jaa kar mushtarika (Sab saath Milkar ) dawat ka ehtemaam karte hain , is main khane peene ke sath sharab noshi aatish baazi aur naach gaane ki mehfil sajai jaati hai kul mila ke western culture ki naqal karte hue mardon ke sath nojawaan ladkiyan bhi is picnic mein shamil hoti hain . Picnic darasal mauj masti ka dusra naam hai is mein paye jaane wale kaam islam ke khilaf hain .
Is moqe par kisi bhi kism ki party se perhez kareen.. Khususan Ghar ke zimmedaraan se guzarish hai. ke apni aulad ko in parties aur picnics mein shirkat ki ijazat na dein.
Naye saal ki aamad pe aatish baazi ka bada holnaak manzar dekhne ko milta hai Ghar , gali , chourahon , mehfilon mein is qadar aatish baazi ki jaati hai ke is se bewajah haadsaat / accidents hote hain. Itna israaf kiya jata..logon ke paas khane ko nahi hai...aur log itna paisa sirf parties main barbaad karte hain.
Allah ta'alah Qur'an main farmate hain khud ko aur apne ghar valoon ko aag se bachao.......
Vaqt ki qadr kareen har kism se Allah Ta'alah ki nafarmaani se bacheen...agar abhi aap SAW hamare beech hote aur dekhte ki hum kya kar rahe hain to unhe kitni takleef hoti ...phir hum kahte hain ki hamain aap SAW se mohabbat hai...ye kaisi mohabbat hai..jo qayamat ke din aap SAW ko takleef pahunchayegi ye sab to nahi sikhaya tha aapne jo hum aaj kar rahe hain.

0 Comments