JUMAH KA DIN JUMAH MUBARAK KAHNA MUKAMAL BAYAN

1:21 PM

🌷JUMAH MUBARAK KAHNA BID'AH HAI🌷

Jume ke din mubarakbaad dena hamari country mein ak custom ban gaya hai text messages ke zariye jume ke din ak dusre se milne pe hum ak doosre ko"juma mubarak"ya "juma tayyibah." Kehte hain.

Is baat mein koi shak nahi ki juma musalmano ke liye "Eid" se kam nahi jaisa ki hadees mein

Ibn 'Abbaas RA se rivayat hai...

Pyare Nabi(s.a.w) ne farmaya yeh Eid ka din hai Allah ta’ala ne musalmano ko hukum diya jo bhi jume ke liye aaye to ,achhe se ghusl kare, itr lagaye, aur chahiye ke miswak ka istemal kare".

Narrated by Ibn Maajah,1098;classed as Hasan by al-Albaani in Saheeh Ibn Maajah.

Ibn al-Qayyim farmate hain

Firstly:

yeh Eid ka din hai jo har hafte aata hai.

{Zaad al-Ma'aad, 1/369}

Is tarah musalmano ki teen eiden hain: Eid al-Fitr aur Eid al-Adha,jo saal mein ak baar ati hain aur Juma jo hafte mein ak baar aata hai.

Secondly:

Eid al- Fitr aur Eid al-Adha ke mauqe per ak dosre ko mubarak baad di jati hai lekin Sahaabah se jume ki mubarakbad dene ki baat nahi milti ki vo ak dosre ko mubarakbaad dete the. Sahaabah ko pata tha, aur woh humse bahut zyada knowledgeable the, iske fazail ke mutalliq, aur woh jume ke din ka khaas ahtemaam karte the, phir bhi aesa nahi milta ki unhone kabhi bhi ak dosre ko mubarak baad di ho.

Shaykh Saalih ibn Fawzaan se poocha gaya :

kya hukum hai jume ke din mubarakbad ke text messeges bhejne se mutalliq aur jumu'ah mubaarak kehne per?

Unhonein jawab diya:

Sahaba ak doosre ko jume ki mubarakbad nahin dete the, to hame bhi kuch aur introduce nahi karna hai jo unhone nahin kiya.

Ajwabat As'ilah Majallat al-Da'wah al-Islamiyyah.

Kyunki yeh zikr aur dua ke tehat ata hai jo ki Quran aur sunnat se sabit honi chahiye kyunki yeh khalis ibadah ka muamla hai and agar yeh sahi hota to hamare Pyare Nabi (s.a.w) aur unke Sahaabah hamse pehle yeh kar chuke hote .

Agar ak musalman apne bhai ke liye dua kare jume ke din is niyat se ki uska dil naram ho jaye aur use khush kare aur woh waqt talash kare jab duaein qubool hoti hain to isme koi ghalat baat nahi hai. Jumah mubarak kahne ke bajaye.

koi bhi deeni ahkaam main doubt ho to ..dekhna chahiye ki aap SAW ne aesa karne ko kaha ya nahi isse related koi hadees hai ya nahi agar nahi to use foran chodh dee kyonki usi ko bid'ah kahte hain jo aap SAW ne nahi bataya deen main karne ko vo karna.

Allah Ta'alah hamain bid'ah se mehfoz rakhe aameen.

Aur Allah behtar janne wala hai.

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *