Where is Allah ? , Allah kaha hai ? In Urdu Hindi

7:42 AM

ALLAH  KAHAN HAI

Ak baar hz Abdullah  bin Umar jo second  khalifa hz Umar ke bete the apne kuch ghulamoon ke saath safar kar rahe the.raste main khane ka vaqt hua to sabne khana nikala aur khane ke liye beth gaye.unhone dekha ki qareeb hi ak charvaha hai apni bakriyoon ke saath to Abdullah  bin Umar ne usko bulaya ki aao hamare saath khana kha lo.usne bataya  ki uska roza hai Abdullah  bin Umar  ko bahot  hairat hui ki ramzaan bhi nahi hain aur itni garmi main isne nafali roza rakha hai. Unhone usse iske bare main poocha to usne kaha ki main aakhrat ki tayyari kar  raha hoon isliye roze se hoon.

Quran-

aaj tum is jannat main maze se khao peeo us amal ke badle main  jo tum duniya main kar  ke aaye ho.

Isliye main duniya  main  amal kar raha hoon taki kal jannat main khaoon peeyoon.Abdullah bin Umar ko sun kar  bahot  khushi hui kyon ki  vo bhi bahot parhezgaar the.unhone usko aur aazmana chaha kaha ki tum isme se ak bakri mujhe beech do  hum ise zibah karenge aur isse tumhe iftaar karvayenge.is par usne kaha ki ye bakriyaan meri nahi  hain ye mere malik ki hain main to ghulaam hoon  .main amanat main  khyanat nahi kar sakta .Abdullah  bin Umar  ne kaha  malik ko pata nahi chalega agar pata chal bhi gaya to tum kah dena gum gaye.ya bhediya kha gaya.is par charvaha kahne laga Allah kahan hai????

Yani agar koi dekh nahi bhi raha tab bhi Allah  to dekh raha  hai vo  ye repeat karta hua vo vahan se chala gaya.

Abdullah  bin Umar  ko uska ye kahna itna pasand  aaya ki foran madine pahunch kar  us ghulaam  ko uske malik se khareeda azaad kiya aur sari bakriyaan  bhi khareed kar use tohfe main de di.

Uski honesty ka  badla Allah  ne use duniya main  bhi diya.
Aur Allah  ki razamandi use mili aur jo aakhrat main milega vo alag.

Ye duniya ki zindagi bahot  thodi hai.ye sirf hamare test ke liye hai isliye itni problems  difficulties  hain jo sirf hamara test hai  ki hum karte kya hain.asal zindagi vo hai  jo marne ke baad shuru hogi jiske baad kabhi maut nahi hai.

Jisko ye baat samjh main aa jati hai vo duniya ki har pareshani gham main mayoos nahi hota use pata hota hai bas thode din ki baat hai agar yahan bach bach kar zindagi guzaar li to kal Allah  ke paas har vo cheez milegi jiski qurbani humne duniya main Allah  ki khatir ki hogi.

Amanat ko amanat samjhna bahot  zaruri hai .jab hum office  main kaam karte  hain to amanat ka kitna khyal rakhte hain office ki har  cheez official use ke  liye hoti hai  na ki personal  isliye kabhi  bhi office ke papers pen pencils ko ghar la kar bancho ko na deen .office se printouts nikala  apne personal  use  ke liye  ya koi bhi aesi cheez ye amanat main khayat hai  .iska bahot dhyaan rakhna chahiye ki chahe koi dekh na raha ho Allah  to dekh raha hai.thode se paise bachane  ke liye imaan na gavayeen .

Isi tarah batain bhi amanat hoti hain ki jab koi kahe ye baat kisi ko na batana to vo bhi amanat hai.isi tarah rishte bhi amanat  hote hain.

Har har baat main ye soocheen ki chahe koi dekhe na dekhe Allah  to dekh raha hai  aur palat kar  Allah  ke paas hi jana hai.

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *