Istikhara Wazahat in Urdu hindi

7:39 AM

ISTEKHARA

(khair mangna)

Hum insan hain kamzor hai hamari knowledge limited hai hum age ke bare main nahin jante ki kya hone vala hai. Hum ye bhi nahin jante hamare liye kya cheez achchi hai kya cheez hamain duniya aur aakhrat main  nuqsaan pahuncha sakti hai.

Lekin Allah AL- Aleem hai ilm vala hai jo janta hai hamare liye kya sahi hai kya galat hai.
Kabhi kabhi hum Allah se kisi cheez ke liye aese dua karte hain jaise koi bachcha aag se attract ho kar mang raha ho lekin Allah Tallah ko pata hai ki ye aag hai mere bande ko nuqsaan degi bahut dua karne ke baad bhi vo cheez nahin milti dua qubool nahin hoti.

Baad main bande ko pata chalta hai ki jo Allah SWT ne faisla kiya  tha vo sahi tha lekin us vaqt to hum pareshan hote hai ki ye dua kyon qubool nahin hui.

Istekhara yani  Allah se khair mangna hai.
Ki ae Allah
Ye  jo kaam karna chahta hoon main nahin janta mere liye sahi hai ya nahin meri duniya aur aakhrat ke atbaar se lekin tera ilm kamil hai tu sab janta hai agar ye kaam mere liye achcha ho to isko karva dena aur isme barkat dena aur
Agar ye kaam meri duniya aur aakhrat ke liye achcha na ho to ise mujhe door kar dena  aur mujhe isse aur mere liye isse behtar ata farmana kyonki tu hi dene  vala hai.

Jab bhi koi bhi kaam chahe chota se chota  ho to do rakat nafil padhe  phir jo bhi kaam karna chahte ho usko dimagh main rakhe aur ye dua padhe.
Bas yehi istekhara- khair mangna hai.

Iske baad kya hoga?

Agar yaqeen se manga hai aur vo kaam hamare liye achcha hoga to vo kaam ho jayega aur agar vo hamare liye achcha nahin hoga to nahin hoga.

Lekin phir hamare dil ko sukoon rahega ki ye kaam isliye nahin hua kyonki hamare liye achcha nahin tha apne aap halat vese hi ban jayenge.

Isha ke baad istekhara karna theek hai .
Lekin kabhi bhi din main koi urgent decision lena hota to kabhi bhi do rakat namaz padhkar ye dua padhe.
Kabhi itni emergency hoti hai ki namaz padhne ka na vaqt milta hai na jagah hoti hai foran faisla lena hota hai to ye dua foran padh le.

Aesa nahin ki ise bas ak baar padhe jab tak koi decision na le paye baar baar padhe
Dil main sukoon ho jayega phir vo kaam agar nahin bhi hoga tab bhi gham na hoga.

KIN KIN SURATO MAIN ISTEKHARA KARE


#Har choti si choti baat main.

Hum log shayad tab karte hai jab shadi ki baat ho aur ye kahkar inkar kar dete hai ki istekhara main nahin aaya isliye nahin kar rahe  ye galat hai aesa nahin kahna chahiye.

#Koi contract sign karna ho.

#Banchcho ka kisi school main admission karvana ho

Koi bhi masla ho to istekhara kare.

Isme aesa nahin hai ki javab aane main 2-3lagte hai ye soochna bhi galat hai hum insan hai aesa nahin hai ki istekhara ke baad koi hum par vahi nazil hogi ki ye kaam karo ya nahin ya khwaab dikhega sab galat hai.koi khwaab nahi dikhta bas sab halaat khud ba khud aese bante hain ki kaam ho jata hai ya nahi hota.

Dua ke baad hum sukoon main aa jate hai.ye dua apne mobile main rakhe har chote bade kaam main Allah se khair mange.Allah ko pasand hai ki banda Allah se mangta rahe kyonki taqdeer main kuch aesi batain likhi hoti hai jisme hota hai ki agar banda dua karega to use milegi varna nahi milegi .
Jaise yunus alesalam jab machli ke peet main the to unhone dua ki
La ilaha illa anta
Nahi hai koi mabood (ibadat ke layaq)sivaye tere
Subhanaka tu paak (har galti se door hai tujh main koi kami nahi) inni beshak main minaz-zalimeen main hi zalimoon main se hoon.

Jab unhone ye dua 40 din tak lagataar ki to Allah SWT ne unhe machli ke peet se nikala aur kaha ki agar ye dua na karte to qayamat ke din tak machli ke peet main rahte isliye kabhi bhi Allah se na -umeed nahi hona chahiye. Apne liye khair mangte rahna chahiye.



Sahih Bukhari - Volume 9, Book 93, Number 487:

Narrated Jabir bin Abdullah:

As-Salami: Allah's Apostle used to teach his companions to perform the prayer of Istikhara for each and every matter just as he used to teach them the Suras from the Quran He used to say, "If anyone of you intends to do some thing, he should offer a two rakat prayer other than the compulsory prayers, and after finishing it, he should say: O Allah! I consult You, for You have all knowledge, and appeal to You to support me with Your Power and ask for Your Bounty, for You are able to do things while I am not, and You know while I do not; and You are the Knower of the Unseen. O Allah If You know It this matter (name your matter) is good for me both at present and in the future, (or in my religion), in my this life and in the Hereafter, then fulfill it for me and make it easy for me, and then bestow Your Blessings on me in that matter. O Allah! If You know that this matter is not good for me in my religion, in my this life and in my coming Hereafter (or at present or in the future), then divert me from it and choose for me what is good wherever it may be, and make me be pleased with it." (See Hadith No. 391, Vol. 8)

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *