Itikaf (Eitikaf) Ke Aham Masle Masail
7:36 PM
Hadees:
Ummul Momineen Hazrat Sayyedah Aisha Siddiqah رضی اللہ تعالٰی عنہا Se Riwayat Hai Wo Kehti Hain,
Motakif (Jisne Aitekaf Kiya) Par Sunnat Ye Hai Ki Wo Na Mareez Ki Ayadat Ko Jaye Na Janaze Me Hazir Ho, Na Aurat Ko Hath Lagaye,
Aur Na Usse Mubashirat Kare, Aur Na Kisi Hajat Ke Liye Jaye.
Magar Us Hajat Ke Liye Ja Sakta Hai Jo Zaroori Ho.
Aur Aitekaf Bagair Roza Ke Nahi,
Aur Aitekaf Jamat Wali Masjid Me Kare
��سنن أبي داود، كتاب الصيام، باب المعتكف يعود المريض، جلد-2، صفحہ-492، الرقم الحديث-1172.
Mas'ala:
1 Mahina Aitekaf Ki Minnat Mani To Ye Aitekaf
Ramzan Me Puri Nahi Kar Sakta... Balki Khas
us Aitekaf Ke Liye Roze Rakhne Hoge
{Alamgeeri, Volume-1, Page-211}
Mas'ala:
Aurat Ne Aitekaf Ki Minnat Mani To Shohar Use Aitekaf Karne Se Rok Sakta Hai.
Aurat Shohar Se Talalq Pane Ya Uske Marne Ke Bad Apni Minnat Puri Kar Saki Hai
{Alamgeeri, Volume-1, Page-211}
Mas'ala:
Wajib Aitekaf (minnat ka Aitekaf) Me Motakif
Ko Masjid Se Nikalna Haram Hai.
Agar Bagair Uzr Nikla To aitekaf Toota Agarche Bhool Se Hi
Nikla Ho, Yun Hi Aitekafe Sunnat (Ramzan Ke
Akhri Ashre Ka Aitekaf) Me Bhi Bila Uzr Nikalne
Se Aitekaf Toot Jata Hai.
{Alamgeeri, Volume-1, Page-211}
Mas'ala:
Aurat Ne Masjide Bait (ghar me wo hissa jo
aurat ne apne namaz padhne ke liye Banaya
ho) Me Sunnat Ya Wajib Aitekaf kiya Aur
Wahan Se Bila Uzr Nikli To Aitekaf Toot Gaya
{Alamgeeri, Volume-1, page-212}
Motakif (jisne Aitekaf Kiya) Ko Masjid Se
Nikalne Ke 2 Uzr (wajah) Hain.
Mas'ala:
1- Hai Tabie Hajat...
Jaise Pakhana Peshab istinja Wazu Aur Gusl.
Agar Masjid Me Wazu Aur Gusl Ke Liye Bana Ho
To Ab Bahar Jana Jayez Nahi Gaya To Aitekaf Toota.
2-Shari Hajat.
masla'lan Eid Ya Juma ke Liye
Jana Ya Azan Kehne Ke Liye Minare Par
Jana.
{Durre Mukhtar, Volume-3, Page-501}
Mas'ala:
Qazaye Hajat (pakhana peshab) Ko Bahar Gaya
To Farig Hote Hi Chala aaye Thaherne Ki ijazat
Nahi.
Motakif Ke 2 Makan Hain eik Masjid Se
Door Aur Eik Nazdeek To Nazdeek Ke makan
Me Jaye Baz Mashayekh Farmate Hain Agar
Door Ke makan Me Gaya To Aitekaf Toot Gaya
{Raddul Mohtar, Volume-3, Page-501}
Mas'ala:
Aisi Masjid Me Aitekaf Kiya Jahan Jamat Se
Namaz Na Hoti Ho To Namaze Ba-jamat Ke
Liye Dusri Masjid Me Jane Ki Ijazat Hai
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-1024}
Mas'ala:
Jis Masjid Me Aitekaf Kiya Tha Wo Gir Gai Ya
Kisi Ne Wahan Se Nikalne Pe Majboor Kiya To Faoran Dusri Masjid Me Jaye Aitekaf Nahi Tootega
{Alamgeeri, Volume-1, Page-212}
Mas'ala:
Motakif (Jisne Aitekaf Kiya) Agar Dubte Ya
Jalte Ko Bachane Ke Liye Masjid Se Bahar
Gaya Ya Mareez Ko Dekhne Ya Jihad Karne Ya
Gawahi Dene Masjid Se Bahar Gaya Ya
Namaze Janaza Padhane Gaya Aur Wahan
Dusra Padhane Wala Nahi Tha Tab Bhi In
Tamam Surton Me Aitekaf Toot Jayega
�� ﺍﻟﻔﺘﺎﻭﻯ ﺍﻟﻬﻨﺪﻳﺔ . ﻛﺘﺎﺏ ﺍﻟﺼﻮﻡ، ﺍﻟﺒﺎﺏ ﺍﻟﺴﺎﺑﻊ ﻓﻲ
ﺍﻻﻋﺘﻜﺎﻑ، ﺟﻠﺪ 1- ، ﺻﻔﺤﮧ .212-
Mas'ala:
Aitekaf E Wajib (Minnat Ka Aitekaf) Karte Waqt
Ye Shart Kee Thi Ki Mariz Ko Dekhne Namaze
Janaza Aur ILMI MAJALIS Me Hazir Hoga To
Ye Shart Jayez Hai.
Ab Agar in Kamo Ke Liye
Masjid Se Bahar Gaya To Aitekaf Na Toota.
Magar Sirf Dil Me Niyyat Kafi Nahi Balki Zaban Se Kehna Bhi Zaroori Hai
�� ﺍﻟﻔﺘﺎﻭﻯ ﺍﻟﻬﻨﺪﻳﺔ، ﻛﺘﺎﺏ ﺍﻟﺼﻮﻡ، ﺍﻟﺒﺎﺏ ﺍﻟﺴﺎﺑﻊ ﻓﻲ
ﺍﻻﻋﺘﻜﺎﻑ، ﺟﻠﺪ 1- ، ﺻﻔﺤﮧ .212-
Mas'ala:
Motakif Pakhana Peshab Ke Liye Gaya Tha
Qarz Khawah Ne Rok Liya To Aitekaf Toot
Gaya
ﺑﻬﺎﺭ ﺷﺮﯾﻌﺖ، ﺍﻋﺘﻜﺎﻑ ﻛﺎ ﺑﻴﺎﻥ، ﺣﺼﮧ5- ،
ﺻﻔﺤﮧ 1025- .
Mas'ala:
Motakif Ne Din Me Bhol Kar Khaya Piya To Na Roza Toota Na Aitekaf,
Motakif Ne Haram Maal Ya Nasha Ki Chiz Rat Me Khai To Aitekaf Nahi Toota,
Magar is Haram Khori Ka Gunah Hua is
Liye Tauba Kare.
Motakif Masjid Me Hi Khaye Piye Soye In Kamo
Ke Liye Masjid Se Bahar Gaya To Aitekaf Fasid Hua,
Magar Khane Pine Me Masjid Ki Safai Ka
Khoob Khayal Rakhe Masjid Me Gandagi Na
Ho,
Aitekaf Me Gali Galoch Ya Jhagda Karne
Se Aitekaf Nahi Toot'Ta Magar Be'Noor Aur Be-
Barkat Hota Hai
�� ﺍﻟﻔﺘﺎﻭﻯ ﺍﻟﻬﻨﺪﻳﺔ، ﻛﺘﺎﺏ ﺍﻟﺼﻮﻡ، ﺍﻟﺒﺎﺏ ﺍﻟﺴﺎﺑﻊ ﻓﻲ
ﺍﻻﻋﺘﻜﺎﻑ، ﺟﻠﺪ 1- ، ﺻﻔﺤﮧ .213-
Mas'ala:
Motakif Ke Siwa Masjid Me Kisi Aur Ko Khane
Pine Aur Sone Ki ijazat Nahi,
Agar Ye Kaam
Karna Chahe To Masjid Me Aitekaf Ki Niyyat
Kare Aur Namaz Padhe Ya Zikre ILAHI Kare
Phir Ye Kaam Kar Sakta Hai
ﺑﻬﺎﺭ ﺷﺮﯾﻌﺖ، ﺍﻋﺘﻜﺎﻑ ﻛﺎ ﺑﻴﺎﻥ، ﺣﺼﮧ5- ،
ﺻﻔﺤﮧ 1026- .
Mas'ala:
Motakif (Jisne Aitekaf Kiya) Ko Chahiye Ki
Halate Aitekaf Me Kasrat Se Quran E Majeed
Ki Tilawat Kare, Hadees Sharif Padhe,
Durood Sharif Padhe,
Deen Ka ILM Sikhe Aur Sikhaye,
Huzoor E Pak ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ O
Deegar Ambiya Alaihimussalam Ki Sirate
Tayyebah Padhe. Awliya O Saliheen Ki
Hikayaat Padhe
�� ﺑﮩﺎﺭ ﺷﺮﯾﻌﺖ، ﺍﻋﺘﮑﺎﻑ ﮐﺎ ﺑﯿﺎﻥ، ﺣﺼﮧ5- ،
ﺻﻔﺤﮧ .1027-
Mas'ala:
Motakif Chup Rehne Ko IBADAT Samjhe To Ye Makroohe Tehrimi Hai,
Agar Sawab Samajh Ke Na Ho Aur Aise Hi Chup Raha To Harj Nahi.
Agar Buri Baat Se Chup Raha To Ye Aala Darje
Ki Chiz hai Q Ki Zuban Se Buri Baat Na Nikalna Ye Wajib Hai,
�� ﺍﻟﺪﺭ ﺍﻟﻤﺨﺘﺎﺭ، ﻛﺘﺎﺏ ﺍﻟﺼﻮﻡ، ﺑﺎﺏ ﺍﻻﻋﺘﻜﺎﻑ،
ﺟﻠﺪ 3- ، ﺻﻔﺤﮧ .507-
Mas'ala:
1 Mahine Ke Aitekaf Ki Niyyat Maani Thi Aur
Mar Gaya To Har Din Ke Badle Sadqae Fitr ke
Barabar Miskeen Ko Fidya Diya Jaye,
Jabki Usne Wasiyyat Ki Ho Aur Uspe Wajib Hai Ki Wasiyyat Kar Jaye.
0 Comments