Itikaf (Etikaf) Ki Fazilate

7:32 PM

Tajdare Madina Suroore Kalbo Sina Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya "Jo Shaks ALLAH Ki Khushnudi Ke Liye Ek Din Ka Etikaf Karega. ALLAH TA'ALA Uske Aur Jahannam Ke Darmiyan 3 Khandake Hail Kar Dega. Jinki Musafat Aasmano Zamin Ke Fasle Se Bhi Jyada Hogi. (Kanzul Umaal) Nabi-E-Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya "Jo Shaks Khalis Niyat Se, Bagair Riya Aur Bila Khwahishe Shohrat Ek Din Etikaf Baja Layega. Usko Hazaar Raato Ki Shabbedari Ka Sawab Milega Aur Uske Aur Dozakh Ke Darmiyan Ka Fasila 500 Baras Ki Rah Hoga". (Tajkiratul Wayezin) Sarkare Do Aalam Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya "Jo Shaks Masjid Me Magrib Se Le Kar Isha Tak Mua'takif Rahe. Namaz Wa Quraan Sharif Ki Tilawat Ke Siwa Kalaam Na Kare To ALLAH TA'ALA Par Laazim Hai Ki Apne Karam Se Us Mua'takif Ke Liye Jannat Me Mehel Tayyar Kare". (Kashaful Gumma) Hazrate Sayyaduna Ibne Abbas Radiallahu Ta'ala Anhu Se Riwayat Hai Ke Rehmate Aalam Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya "Etikaf Karnewala Gunaho Se Mehfuz Ho Jata Hai. Aur Uski Tama Nekiya Isi Tarah Likhi Jati Rehti Hai Jaise Wo Inko Khud Karta Raha Ho". (Mishkat Sharif) Hadees: Sayyedna Imame Hussain رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Riwayat Hai Huzoor Nabiye Kareem صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Farmaya. Jisne Ramzan Me 10 Dino Ka Aitekaf Kiya To Aisa Hai Jaise 2 Hajj Aur 2 Umre kiye جلد-3، صفحہ-425، الرقم الحديث-3966، Madani Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya "Jo Shaks Khaalisan Livazihillah Ramzan Mubarak Me Ek Din Aur Ek Raat Ka Etikaf Kare To Usko 300 Shahido Ka Sawab Milega. )Tazkiratul Wayezin(

You Might Also Like

0 Comments

Advertisement

Blog Archive

Followers

Contact Form

Name

Email *

Message *